aaj jin jheelon ka bas kaghaz me naqsha reh gaya
aik mudat tak main un ankhon se behta reh gaya
main usay na qabil e bardasht samjha tha magar
woh mere dil me raha aur acha khasa reh gaya
wo jo aadhay thay tujhay mil ka mukamal ho ga’ay
jo mukamal tha woh tere ghal me aadha reh gaya
jism ki chadar pe raten phelti tu theen magar
mere kaandhay par tera bosa adhora reh gaya
woh tabasum ka tabaruk bant,ta tha aur main
cheekhta tha aay sakhi phir mera hisa reh gaya
aaj ka din saal ka sab se bara din tha tu phir
jo tere pehlo me leta tha woh acha reh gaya