Add Poetry

Aaj Ki Raat Kategi Kyun Kar Saz Na Jam Na To Mehman

Poet: Ibn e Safi By: Osama, khi

Aaj Ki Raat Kategi Kyun Kar Saz Na Jam Na To Mehman
Subh Talak Kya Jaaniye Kya Ho Aankh Lage Ya Jae Jaan

Mulk-E-Tarab Ke Rahne Walo Ye Kaisi Majburi Hai
Aql Ye Kahti Hai So Jao Dil Kahta Hai Ek Na Man

Ab Aise Men Batao Yaro Kis Ja Kufr Kidhar Iman
Aapne Bipta Sun Li Hamari Bada Karam Lakhon Ehsan

Pichhli Raat Ka Sannata Kahta Hai Ab Kya Aaenge
Hum Na Kahenge Aap Ke Aage Ro Ro Dide Khoe Hain

Unki Banhon Ke Halqe Men Ishq Bana Hai Pir-E-Tariq
Honton Ki Basti Men Charaghan Dil Ke Nagar Itne Sunsan

Rate it:
Views: 990
20 Apr, 2015
More Ibn e Safi Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets