Aakhiri Bar Aah Kar Li Hai
Poet: Jaun Elia By: Sana, ChichawatniAkhiri baar aah kar li hai
 Main ne khud se nibah kar li hai
 
 Apne sar ik bala to leni thi
 Main ne vo zulf apne sar li hai
 
 Din bhala kis tarah guzaroge
 Vasl ki shab bhi ab guzar li hai
 
 Jan-nisaron pe vaar kya karna
 Main ne bas haath men sipar li hai
 
 Jo bhi mango udhar dunga main
 Us gali men dukan kar li hai
 
 Mera kashkol kab se ḳhali tha
 Main ne is men sharab bhar li hai
 
 Aur to kuchh nahin kiya main ne
 Apni halat tabah kar li hai
 
 Shaiḳh aaya tha mohtasib ko liye
 Main ne bhi un ki vo ḳhabar li hai
More Jaun Elia Poetry







 
  
  
  
  
  
  
  
  
  
  
 