Aasan-E-Haqiqi Hai Na Kuchh Sahal-E-Majazi
Malum Hui Rah-E-Mohabbat Ki Daraazi
Kar Jald Hamen Khatm Kahin Ai Gham-E-Jaanan
Kuchh Lutf O Nazar Lazim O Malzum Nahin Hain
Har-Chand Wo Urdu Hai Na Turki Hai Na Tazi
Ai Ishq Teri Fath Bahar-Haal Hai Sabit
Ek Ye Bhi Tamanna Ki Na Ho Shobada Bazi
Dil Khub Samajhta Hai Tere Harf-E-Karam Ko
Khalwat Men Wo Mai-Khwar Hai Jalwat Men Namazi
Mar Kar Bhi Shahidan-E-Mohabbat Hue Ghazi
Malum Hai Duniya Ko Ye Hasrat Ki Haqiqat
Baqi Hai Na Wo Shauq Ki Hangama-Nawazi
Kaam Aaegi Kis Roz Teri Sina-Gudazi
Qaim Hai Na Wo Husn-E-Rukh-E-Yar Ka Aalam