Ab Bhi Parde Hain Wahi Parda-Dari To Dekho
Aql Ka Dawa-E-Baaligh-Nazari To Dekho
Jawedan Qurb Ke Lamhat Hue Hain Mazhar
Ishq Aur Aql Ki Ye Ham-Safri To Dekho
Gham-Gusaron Ki Zara Nama-Bari To Dekho
Mujhse Hi Puchh Raha Hai Meri Manzil Ka Pata
Husn-E-Masum Ki Bedad-Gari To Dekho
Doston Ki Ye Wasia-Un-Nazari To Dekho
Mere Rahbar Ki Zara Rah-Bari To Dekho
Sar Patakte Hain Ki Diwar-E-Khumistan Dha Den
Donon Hi Rah Men Takraate Chale Jate Hain
Mere Nalon Ki Zara Zud-Asari To Dekho
Hazrat-E-Shaikh Ki Aashufta-Sari To Dekho
Aaj Har Zakhm Ke Munh Men Hai Zaban-E-Fariyaad
Qaid-E-Nazzara Se Jalwaon Ko Nikalne Na Diya
Mere Isa Ki Zara Chaaragari To Dekho
Un Se Pahle Hi Chale Aae Janab-E-Naseh
Un Ko De Aae Hain Khud Apni Mohabbat Ke Khutut
Hai Taghaful Ki Tawajjoh Nahin Khulne Pata
Tair-E-Waqt Ki Be-Baal-O-Pari To Dekho