Add Poetry

Ab Harf-E-Tamanna Ko Samaat Na Milegi

Poet: Pirzada Qasim By: Pirzada Qasim, khi

Ab Harf-E-Tamanna Ko Samaat Na Milegi
Bechoge Agar Khwab To Qimat Na Milegi

Tashhir Ke Bazar Men Ai Taza Kharidar
Jab Usko Bhulane Ki Bhi Fursat Na Milegi

Lamhon Ke Taaqub Men Guzar Jaengi Sadiyan
Ab Khwab Hi Dekhoge Bashaarat Na Milegi

Yun Waqt To Mil Jaega Mohlat Na Milegi
Ta-Umr Wahi Kar-E-Ziyan Ishq Raha Yaad

Kal Aaine Tarsenge To Surat Na Milegi
Aaina-Sifat Waqt Tera Husn Hain Hum Log

Haalanki Ye Malum Tha Ujrat Na Milegi
Socha Hi Na Tha Yun Bhi Use Yaad Rakhenge

Tabir Nazar Aane Lagi Khwab Ki Surat
Zebaishen Mil Jaengi Qamat Na Milegi
 

Rate it:
Views: 923
20 Apr, 2015
More Pirzada Qasim Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets