Ab Ke Hum Bichhde To Shaayad Kabhi Khwaabon Mein Mile
Jis Tarah Sookhe Hue Phool Kitaabon Mein Mile
Ab Ke Hum Bichhde To Shaayad Kabhi Khwaabon Mein Mile
Jis Tarah Sookhe Hue Phool Kitaabon Mein Mile
Tuu Khudaa Hai Na Meraa Ishq Farishton Jaisaa
Dono Insaan Hain To Kyon Itne Hijaabon Mein Mile
Gham-E-Duniyaa Bhi Gham-E-Yaar Mein Shaamil Kar Lo
Nashaa Badtaa Hai Sharaben Jo Sharaabon Mein Mile
Aaj Hum Daar Pe Khenche Gaye Jin Baaton Par
Kyaa Ajab Kal Vo Zamaane Ko Nisaabon Mein Mile
Ab Na Vo Main Hoon, Na Tu Hai Na Vo Maazi Hai Faraaz
Jaise Do Shakhs Tamannaa Ke Saraabon Mein Mile