Ab To Ghabra Ke Ye Kahte Hain Ki Mar Ja.Enge
Mar Ke Bhi Chain Na Paaya To Kidhar Ja.Enge
Tum Ne Thahra.i Agar Ġhair Ke Ghar Jaane Ki
To Irade Yahan Kuchh Aur Thahar Ja.Enge
Khali Ai Charagaro Honge Bahut Marham-Dan
Par Mire Zakhm Nahin Aise Ki Bhar Ja.Enge
Pahunchenge Rahguzar-E-Yar Talak Kyuun Kar Ham
Pahle Jab Tak Na Do Aalam Se Guzar Ja.Enge
Shola-E-ah Ko Bijli Ki Tarah Chamka.Ūn
Par Mujhe Dar Hai Ki Vo Dekh Ke Dar Ja.Enge
Ham Nahin Vo Jo Karen Khuun Ka Da.Ava Tujh Par
Balki Pūchhega Khuda Bhi To Mukar Ja.Enge
Aag Dozakh Ki Bhi Ho Ja.Egi Paani Paani
Jab Ye Aasi Araq-E-Sharm Se Tar Ja.Enge
Nahin Pa.Ega Nishan Koi Hamara Hargiz
Ham Jahan Se Ravish-E-Tir-E-Nazar Ja.Enge
Samne Chashm-E-Guhar-Bar Ke Kah Do Dariya
Chadh Ke Gar Aa.E To Nazron Se Utar Ja.Enge
Laa.E Jo Mast Hain Turbat Pe Gulabi ankhen
Aur Agar Kuchh Nahin Do Phuul To Dhar Ja.Enge
Ruḳh-E-Raushan Se Naqab Apne Ulat Dekho Tum
Mehr-O-Mah Nazron Se Yaron Ki Utar Ja.Enge
Ham Bhi Dekhenge Koi Ahl-E-Nazar Hai Ki Nahin
Yaan Se Jab Ham Ravish-E-Tir-E-Nazar Ja.Enge
'Zauq' Jo Madrase Ke Bigde Hue Hain Mulla
Un Ko Mai-ḳhane Men Le Aao Sanvar Ja.Enge