Abhi To Kerna Pare Ga Safer Dobara Mujhe
Abhi Kare Nahin Aram Ka Ishara Mujhe
Lahu Me Ayega Tufaan-E-Tund Raat-Ba-Raat
Karegi Mauj-E-Balaa-Khaizz Paara-Paara Mujhe
Bujha Nahin Mere Andar Ka Aaftaab Abhi
Jalaa Ke Khaak Kare Ga Yahi Sharaara Mujhe
Utaaar Phenktaa Main Bhi Yeh Taar-Taar Badan
Aseer-E-Khaak Hoon Karna Parra Guzaara Mujhe
Urre Woh Gard Ke Main Chaar-Suu Bikhar Jaaun
Ghubaar Me Nazar Aaye Na Koi Chaara Mujhe
Meri Hudood Me Hai Mere Aas Paas Ki Dhund
Rahaa Yeh Sheher To Is Ka Nahin Ijaara Mujhe
Seher Huyi To Bohat Dair Tak Dikhaayi Diyaa
Ghuroob Hotii Huyi Raat Ka Kinaara Mujhe
Meri Fazaa Me Hai Tarteeb Kaainaat Kuch Aur
Ajab Nahin Jo Tera Chaand Hai Sitaara Mujhe
Na Chhuu Sakun Jise Kya Us Ka Dekhna Bhi “Zafar”
Bhalaa Laga Na Kabhi Duur Ka Nazaara Mujhe