Ada-e-ishq Hun Puri Ana Ke Sath Hun Main
Khud apne sath hun yani Khuda ke sath hun main
mujawaran-e-hawas tang hain ki yun kaise
baghair sharm-o-haya bhi haya ke sath hun main
safar shurua to hone de apne sath mera
tu Khud kahega ye kaisi bala ke sath hun main
main chu gaya to tera rang kat dalunga
so apne aap se tujh ko bacha ke sath hun main
durud-bar-dil-e-wahshi salam-bar-tap-e-ishq
Khud apni hamd Khud apni sana ke sath hun main
yahi to farq hai mere aur un ke hal ke beech
shikayaten hain unhen aur raza ke sath hun main
main awwalin ki izzat mein aakhirin ka noor
wo intiha hun ki har ibtida ke sath hun main
dikhai dun bhi to kaise sunai dun bhi to kyun
wara-e-naqsh-o-nawa hun fana ke sath hun main
ba-hukm-e-yar lawen qabz karne aati hai
bujha rahi hai? bujhae hawa ke sath hun main
ye sabirin-e-mohabbat ye kashifin-e-junun
inhi ke sang inhin auliya ke sath hun main
kisi ke sath nahin hun magar jamal-e-ilaha
teri qism tere har mubtala ke sath hun main
zamane bhar ko pata hai main kis tariq pe hun
sabhi ko ilm hai kis dil-ruba ke sath hun main
munafiqin-e-tasawwuf ki maut hun main 'ali'
har ek asil har ek be-riya ke sath hun main