Adam Men Rahte To Shad Rahte Use Bhi Fikr-E-Sitam Na Hota
Jo Hum Na Hote To Dil Na Hota Jo Dil Na Hota To Gham Na Hota
Nazar Se Zahir Haya Na Hoti Haya Se Gardan Men Kham Na Hota
Sharik-E-Zeba Tha Bul-Hawas Bhi Jo Bewafai Men Kam Na Hota
Hui Khajalat Se Nafrat Afzun Gile Kiye Khub Aakhirin Dam
Hua Musalman Main Aur Dar Se Na Dars-E-Waiz Ko Sun Ke Momin
Ghalat Ki Sane Ko Ho Gawara Kharash-E-Angusht-Ha-E-Nazuk
Ye Be-Takalluf Phira Rahi Hai Kashish Dil-E-Ashiqan Ki Usko
Kaha Ki Gar Sach Ye Haal Hota To Daftar Itna Raqam Na Hota
Agarche Ye Sarnawisht Men Tha Tumhaare Sar Ki Qasam Na Hota
Pada Hi Marna Bas Ab To Hum Ko Jo Usne Khat Padh Ke Nama-Bar Se
Jahan-E-Tang O Hujum-E-Wahshat Gharaz Ki Dam Par Buri Bani Thi
Wahan Taraqqi Jamal Ko Hai Yahan Mohabbat Hai Roz-Afzun
Kisi Ke Jalne Ka Dhyan Aaya Wagarna Dud-E-Fughan Se Mere
Adu Ke Marne Ki Jab Khushi Thi Ki Usko Ranj O Alam Na Hota
Agar Hazaron Siphar Bante Tumhaari Aankhon Men Nam Na Hota
Kahan Main Jata Na Ji Thaharta Kahin Jo Dasht-E-Adam Na Hota
Visal To Hai Kahan Mayassar Magar Khayal-E-Visal Hi Men
Wagarna Aisi Nazakaton Pe Khiram-E-Naz Ek Qadam Na Hota
Maze Udate Hawas Nikalti Jo Sath Andaz-E-Ram Na Hota
Magar Raqibon Ne Sar Uthaya Ki Ye Na Hota To Be-Murawwat
Wo Kash Ek Dam Thahar Ke Aate Ki Mere Lab Par Bhi Dam Na Hota
Bani Thi Dozakh Bala Se Banti Azab-E-Hijr-E-Sanam Na Hota
Jawab-E-Khat Ki Ummid Rakhte Jo Qaul-E-Juffil-Qalam Na Hota
Visal Ko Hum Taras Rahe The Jo Ab Hua To Maza Na Paya
Jo Aap Dar Se Utha Na Dete Kahin Na Karta Main Jabha-Sai