✕
Poetry
Famous Poets
Allama Iqbal
Ahmed Faraz
Amjad Islam Amjad
Wasi Shah
Parveen Shakir
More Poets
Poetry Categories
Love Poetry
Sad Poetry
Friendship Poetry
Islamic Poetry
Punjabi Poetry
More Categories
Poetry SMS
Poetry Images
Tags
Poetry Videos
Featured Poets
Post your Poetry
News
Business
Mobile
Articles
Islam
Names
Health
Shop
More
WOMEN
AUTOS
ENews
Recipes
Poetries
Results
Videos
Directory
Photos
Business & Finance
Education News
Add Poetry
Home
LOVE POETRY
SAD POETRY
FAMOUS POETS
POETRY IMAGES
POETRY VIDEOS
NEWS
ARTICLES
MORE ON POETRY
Home
Urdu Poetry
Featured Poets
Adil Shehzad
Search
Add Poetry
Poetries by Adil Shehzad
Dil Ro K Keh Uthaa
Guzaray Hain Zindagee Mein Easy Bhi Haadsey
Dil Ro K Keh Utha K Hamara Khuda Nahi
Adil
Copy
Waday
Aaey Dost Tu Na Aaya Tere Intezaar Mein
Ek Mout Thi Jo Aa Gei Wadey Keh Bagher
Adil
Copy
Muskura Rehy Hain
Kya Kahen Hum Kaise Tujhse Door Ho Gaye
Haalaat Se Kuch Khud Se Majboor Ho Gaye
Mohhabbat Rula Deti Hai, Kab Ye Maana Tha
Apne Dil Ke Afsaane Wohi Dastoor Ho Gaye
Manzil Jise Samjha Bana Wo Meel Ka Pathar
Nayi Manzil, Naye Raaste Manzoor Ho Gaye
Hadd Se Barh Jaaye Jo Ghum, Deta Nahin Dard
Muskura Rahe Hain, Aise Hum Ranjoor Ho Gaye
Dil Tera Reza Reza Hai, Kaise Sambhale Tujhko
Khudaya Humse Kaise Yeh Qusoor Ho Gaye
Adil
Copy
Jabeen Pe Sajda Koi
Chehra-E-Yaar Mein Chuppi Adawat Thi
Behead Khuli Woh Mohabat Nahi Bagawat Thi
Ek Hum Hi Thay Jo Dost Ki Dushmani Pe Mar Meetay
Warna Kisi Mein Kahaan Easi Sakhawat Thi
Ek Ada Na Kar Saka Teri Jabeen Pe Sajda Koi
Tamaam Umar Lab-E-Teshna Se Jari Ki Tilawat Thi
Yeh Saza To Sirf Mere Hi Bakht Likhi Thi
Shamil Jo Na Mohabat Mein Koi Milaawat Thi
Kese Marta Mera Koi Armaaan Adil
Us Shakhas Ki Dil Pe Umar(R A) Jesi Khilafat Thi
Adil
Copy
Khush Ho
Mujhe Kar K Pereshaan Kush Ho
Dil Ko Kar K Dar-E-Maan Kush Ho
Kya Kahon Kia Un Mohabaton Ka Suroor
Jin Mein Dard Ki Ur Kar Uraan Kush Ho
Patheron Ki Larai Mein Dil Kiun Phenka Tha
Kia Ghar Ko Ab Kar K Veraan Kush Ho
Dandh Raha Bewafai Ka Peeta Zamane Bhar Me
Meri Chahato Ko Agar K Qurbaan Kush Ho
Khatain Teri Bhi Apne Sar Uthaa Loun Ga
Tum Mujh Se Apni Door Kar K Jaan Kush Ho
Aesa Bhi Dunia Mein Koi Guzara Hai Adil
Sara Jis Se Aakhir Jahaan Kush Ho
Adil
Copy
Roo Jata Hoon
Dehleez Pe Qadam Rakhoon To Khoo Jata Hoon
Tujhe Na Paa Kar Mein Boht Roo Jata Hoon
Melti Nahi Ab Woh Muntazir Aakhen Mujhey
Khali Ghar Ke Andar Jub Kho Jata Hoon
Bula Ley Mujh Ko Aur Seene Laga Ke Suna Looreyan
Maan Tere Bageyr Dunia Mein Tanhai Urah Ke Soo Jata Hoon
Adil
Copy
Shoohar Ki Faryad
(Prveen Shakar Se Mazret Ke Saath)
Ku Ba Ku Phel Gei Baat Peetai Ki
Bevi Ne Meri Sendal Se Khoob Pazeerai Ki
Belan Sar Pe Tha Louta To Mere Pass Aya
Bus Yehi Nishanian Achhi Hain Mere Harjai Ki
Tere Dil Ki Tarah Tera Keechan Bhi Sunsan Rehy
Tujh Pe Guzarey Na Qayaamat Bartano Se Dhulai Ki
Uss Ne Jalti Hoi Hatheli Pe Jub Jaaru Rakha
Ghar Se Ruh Tak Aaa Gei Taseer Saffai Ki
Ab To Barsaat Raaton Mein Badan Tootta Hai 'Adil'
Jaag Uthti Hai Kambakht Bevi Jub Bhi Hum Ne Razai Ki
Adil
Copy
Mekhane Tuk
Baat Chali Teri Aankhon Say Ja Pohnchi Paimanay Tuk
Kheinch Rahi Hai Teri Ulfat, Aaj Mujhey Maikhanay Tuk
Ishq Ki Batain Ghum Ki Batain, Dunya Walay Kertay Hain
Kis Nay Shama Ka Dukh Dekha, Kaun Gaya Parwanay Tuk
Ishq Nahin Hay Tum Ko Mujh Say, Sirf Bahanay Kerti Ho
Yun Hi Bahanay Qayam Rakhna, Tum Meray Mer Jaanay Tuk
Itna Hi Kehna Hay Tum Say, Mumkin Ho To Aa Jaana,
Aa Hi Gayai Tou Rukna Ho Ga, Aankhon K Pathranay Tuk
Adil
Copy
Mannana Bhool Geya
Aaj Dareechay Main Woh Aana Bhool Gaya
Main Bhi Apna Diya Jalana Bhool Gaya
Aaj Mujhe Bhi Uski Yad Nahi Aayi
Woh Bhi Mere Khuwab Main Ana Bhool Gaya
Bahaar Ne Jub Se Aana Chore Diya
Mousam Bhi Apna Phool Khilana Bhool Gaya
Chalte Chalte Main Usko Gher Lay Aayi
Woh Bhi Muj Se Apna Hath Chuhrana Bhool Gaya
Khat Likha Hai Par Khat Ke Koney Par
Woh Apni Ankh Ka Ansoo Mitana Bhool Gaya
Rooth Ke Dono Aik Jaga Baithey Rahey
Main Usko Woh Mujko Manana Bhool Gaya
Adil
Copy
Hota Hai
Khuabon Ka Her Rang Haseen Hota Hai
Haqeeqat Ka Her Roop Sangeen Hota Hai
Hum Nay Aksar Ishq Mein Aisa Dekha Hai
Aik Bohat Shaad Aur Ik Ghamgeen Hota Hai
Shaam Ko Mein Akser Ye Socha Kerti Hun
Aankh Ka Pani Kyun Namkeen Hota Hai
Woh Jab Bhi Meri Yaadon Mein Aata Hai
Dil Ka Her Gosha Rangeen Hota Hai
Mein Ney Jab Bhi Baher-O-Amber Ko Dekha
Mein Ney Jaana Kya Aafreen Hota Hai
Adil
Copy
Ezhaar Kia Tha
Had Se Guzrne Ka Ezhaar Kia Tha
Dil Ne Tera Etebaar Kia Tha
Mana Keh Hum Se Ghalti Hoi Thi
Magar Janaa Tu Ne Bhi Hum Se Pyar Kia Tha
Adil
Copy
Kon Ho Tum
Mia Bus Ek Bar La-Jawab Hoa
Kisi Apny Ne Kaha Jub Kon Ho Tum
Adil
Copy
Saari Rasam Ada Keeti
Merey Payar Dey Wich Mashook Na Theeven
Nahain Aj Tak Galat Nigah Keeti
Teri Har Mulakaat Mein Inj Keeti
Jewen Musa Naal Khuda Keeti
Nahi Farak Keeta Teri Pooja Da
Nahain Mnuksaan Dee Koi Parwah Keeti
Ek Teenu RUB Na Keh Sakda
Baki Saari Rasam Adaa Keeti
Adil
Copy
Accha Lagta Hai
Us Key Bin Chup Chup Rehna Ab Acha Lagta Hay
Khamooshi Say Ek Dard Ko Sehna Acha Lagta Hay
Jis Hasti Ki Yaad May Aansoo Barastey Hain
Samaney Us Key Kuch Na Kehna Acha Lagta Hay
Mil Kar Us Say Bhichar Na Jaoon Darta Rehta Hoon
Is Liye Bas Dour Hi Rehna Acha Lagta Hay
Jee Chahey Sari Khushyaan Lay Kar Us Ko Deydoon
Us Key Pyaar May Sab Kuch Khoona Acha Lagta Hay
Us Ka Milna Na Milna Qismat Ki Baat Hay
Pal Pal Us Ki Yaad May Roona Acha Lagta Hay
Us Key Bina Sari Khushyaan Aajab Lagti Hain
Roo Roo Kar Us Ki Yaad May Soona Acha Lagta Hay
Ham Say Muhabbatoon Ki Numayaish Na Hoo Saki
Bas Etna Jantey Hain Key Tumhain Chahtey Hain Ham
Adil
Copy
Khafa Ho Jesey
Youn Na Mil Mujh Se Khafaa Ho Jaise
Saath Chal Mauj-E-Sabaa Ho Jaise
Log Youn Dekh Kar Hans Dete Hein
Tuu Mujhe Bhool Giyaa Ho Jaise
Ishq Ko Shirk Kii Hadh Tak Na Barhaa
Youn Na Mil Hum Se Khudaa Ho Jaise
Maut Bhii Aaii To Iss Naaz Ke Saath
Mujh Pe Ehasaan Kiyaa Ho Jaise
Aise Anjaan Bane Baithe Ho
Tum Ko Kuchh Bhii Na Pataa Ho Jaise
Hichkiyaan Raat Ko Aatii Hii Rahiin
Tuu Ne Phir Yaad Kiyaa Ho Jaise
Zindagii Beet Rahii Hai "Adil"
Ek Bejurm Sazaa Ho Jaise
Adil
Copy
Toot Jata Hai
Merey Wahm-O- Guman Se Bhi Zyada Toot Jata Hey
Ye Dil Apni Hadoon Mein Reh Kar Itna Toot Jata Hey
Mein Roo‘Oun To Dar-O-Dewar Mujh Pey Hansney Lagtey Hain
Hansoon To Merey Andar Janey Kya Kya Toot Jata Hey
Mein Jis Lamhey Ki Khawahish Mein Safar Karta Hoon Sadyoon Sey
Kahin Paoon Taley Aa Kar Who Lamha Toot Jata Hey
Merey Khwaboon Ki Basti Sey Janazey Uthtey Jatey Hain
Meri Aankhein Jisey Choo Lain Who Sapna Toot Jata Hey
Najaney Kitni Muddat Sey Hey Dil Mein Ye Amal Jari
Zara Si Thees Lagti Hey Zara Sa Toot Jata Hey
Dil E Nadan Hamari To Mohabbat Hi Na Muqamal Thi
To Heyrat Kya Jo Bantey Hi Irada Toot Jata Hey
Muqadar Mein Merey Sagar Shikast O Rekhat Itni Hain
Mein Jis Ko Apna Keh Doon Who Sitara Toot Jata Hain
Adil
Copy
Naam Likh Dia
Barsoon Kay Intizaar Ka Anjaam Likh Dia
Kaaghaz Pay Shaam Kaat Kay Phir Shaam Likh Dia
Bikhri Pari Thi Toot Kay Kaliyaan Zameen Per
Tarteeb Day Kay Mein Nai Tera Naam Likh Dia
Aasan Nahi Thi Tark-E-Mohabbat Ki Dastaan
Jo Aansoon Nay Aakhri Paighaam Likh Dia
ALLAH! Zindagi Say Kahan Tak Nibhaoon Mein
Kiss Bewafa Kay Saath Mera Naam Likh Dia
Taqseem Ho Rahi Thi Khudai Ki Naimatein
Ik Ishq Bach Gaya So Mere Naam Likh Dia
Kisi Ki Dain Hai Yeh Shairi Meri
Uski Ghazal Pay Jisney Mera Naam Likh Dia
Adil
Copy
Meri Har Toba Keh Baad
Mein Haqiqat Hoon Samjhta Hai Wo Afsana Mujhe
Khud Jalty Hain Bana Ker Apna Perwana Mujhe
Gardish-E-Dooran Se Keh Do Hoosh Ki Batein Kery
Gham Ke Toofano Se Bhi Aata Hai Takrana Mujhe
Unse Unki Bazam Mein Itna Hee Keh K Uth Gaye
Ronaqain Tumko Mubarak Or Veeraniyan Mujhe
Jaanay Kia Insan Tha Aashna Lagta Tha Wo
Ker Gaya Sary Shaanisaoun Se Be-Gunna Mujhe
Aesy Chup Chup Ker Kahan Tak Zehmat-E-Jalwa Gari
Haser Jo Bhi Ho Nazar Aa Be-Hijaaban Mujhe
Meri Tark-E-Mehkashi Per Meri Her Tuba Ke Baad
Ehtiraaman Leyne Aaya Meer-R- Maikhaana Mujhe
Her Naye Saqi Ne UFF Hasb-E-Riwayat He Dia
Mere Hee Khoon-E-Jiger Se Bher Ker Pemanay Mujhe
Dekh Ker Iss Dil Ki Thandi Aag Mai Jalty Howy
Ho Gaye Rukhsat Duayain De Ker Perwany Mujhe
Adil
Copy
Jurm_O_Sitam
Yun Dosti K Naam Ko Rusvaa Na Kijiye
Tark-E-Ta’alluqaat Ka Charcha Na Kijiye
Jurm-O-Sitam Ka Paas Bhi Ulfat Mein Shart Hai
Palkon Ko Aansuon Se Bhigoya Na Kijiye
Aisaa Na Ho Ummeed Se Rishta Hi Toot Jaaye
Har Roz Mujhse Vaada-E-Fardaa Na Kijiye
Hamdard Jis Ko Apna Samajhte Rahe Hain Aap
Us Ka Hi Zindagi Mein Bharosa Na Kijiye
Adil
Copy
Badal Jaati Hain
Pal Bhar Mein Tamam Umer Ki Sochein Badal Jati Hain
Jin Rahon Per Chaltey Hain Wohi, Rahein Badal Jati Hain
Karney Ko Kia Nahi Kartey Log Muhabbat Mein
Sirf Hamarey Liye Hi Kyun? Rasmein Badal Jati Hain
Woh Aisa Hai K Us Ka Naam Sunney K Tasawwur Say Hi
Hamari Tamaam Tar Saatein Badal Jati Hain
Sochta Hoon Jane Kaise? Kah Paoon Ghi Main Us Say
Milti Hoon To Dil Ki Sari Batein Badal Jati Hain
Chahe “Manzil“ “Dushwar“ Ho Aur “Duur“ Bhi
Humsafer Us Jaisa Ho To Musaftein Badal Jati Hain
Yun To “Raat“ Ka Alam Haseen Hota Hai, Madhosh Bhi
Magar“Chand“Dekhoon To Meri Ratein Badal Jati Hain
Mat Chaho,K Mujhe Aadat Nahi Itna Chahne Walon Ki
Yeh Na Ho Log Kahein, Jald Hi Adatein Badal Jati Hain
Adil
Copy
Load More
Famous Poets
Mirza Ghalib
Allama Iqbal
Ahmed Faraz
Amjad Islam Amjad
Wasi Shah
Parveen Shakir
Faiz Ahmed Faiz
Munir Niazi
Jaun Elia
Gulzar
Tahzeeb Hafi
Ali Zaryoun
View More Poets