Add Poetry

Ae Dost

Poet: Maahi Hoda Ansari By: Maahi Hoda Ansari, vns

Mujhe Ab Bhul Jaao Tum
Mujhe Ab Yaad Na Rakhna
Nahi Manzur Hai Mujhko
Kii Khud Ho Door Mujhse Tum
Yahi Ek Baat Hai 'Ae Dost'
Jo Mujhko Aaj Hai Kahna

Mujhe Ab Chod Jaao Tum
Kii Sabka Hai Yahi Kahna
Hai Mere Gam Mere Saathi
Meri Khaamiya Meri Taakat
Yahi Ek Raaz Hai 'Ae Dost'
Jo Mujhko Aaj Hai Kahna

Mujhe Ab Chod Jaao Tum
Kii Mai Hu Phool Ek Bekaar
Meri Khushbu Meri Soorat
Na Kuch Bhi Khubsurat Hai
Ye Meri Soch Hai 'Ae Dost'
Jo Tujhse Aaj Hai Kahna

Mujhe Ab Phek Jaao Tum
Kii Mai Na Kaam Ka Tere
Kisi Kone Me Rakhha Sa
Mai Ek Maila Sa Kaagaz Hu
Yahi Takleef Hai 'Ae Dost'
Jo Tujhse Aaj Hai Kahna

Mujhe Mita Jaao Tum
Kii Mai Hu Chaand Ka
Wo Daag
Hai Jisko Log Kahte
Mai Dhabba Hu
Mai Hu Naasur
Ye Mera Haal Hai 'Ae Dost'
Jo Tujhse Aaj Hai Kahna

Rate it:
Views: 1620
03 Jul, 2017
Related Tags on Friendship Poetry
Load More Tags
More Friendship Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets