Add Poetry

Ae Hazrat E Molana

Poet: Shakeel Ahmad By: Shakeel Ahmad, Mardan

Har Aik Kameti Ka Sab Se Barda Member Tu
Khwahish Hay Yehi TeriPrime Ho Minister Tu
Masjid Bhi Hay Bas TeriHay Sahib E Menbar Tu
Dolat Bhi Hay Shuhrat BhiSab Logon Main Behtar Tu
Koi Bhi Hukumat HoSab Ko Hay Muyassar Tu
Lalach Nahi Kursi KaKehta Hay Ye Aksar Tu
Mera Hay Yehi MaqsadIslam Ko Phelana
Ae Hazrat E Molana

Farmaya Tabahi HayAurat Ki Hukumrani
Amrica Ke Europe HoHo Roos Ke Japani
Phir Jald Wazarat LiDi Qaol Ki Qurbani
Bibi Nawaz O GeneralSab Nay Hay Teri Mani
Tha Tere Hi Qabze MainDeezal Ho Ya Ke Pani
Hissa Baqadr E Jussa Hay Fazl Ye Rabbani
Wo Bhi Hay Dost TeraOs Samt Bhi Yarana
Ae Hazrat E Molana

Mullaon Ko Bulva KarMMA Ka Banvana
Leder Oposition KaGeneral Se Bhi Yarana
Wo Khufia MulaqateinRad Kar Ke Muskurana
Hain Mujhko Kuch TahaffuzHota Tera Farmana
Wardi Mein Sadr BankarJernail Ko Jitwana
Har Mulk Ke Daure ParTha Tera Aana Jana
Ab Yad Aaraha HayGuzra Hua Zamana
Ae Hazrat E Molana

Rate it:
Views: 404
03 Mar, 2011
More Political Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets