Add Poetry

Ae Rooh E Quaid

Poet: Abdul Qadir By: Abdul Qadir, Karachi

Ae Qom K Sache Rehnuma
Tu Sajeela Kanwal Ik Khushnuma
Di Tu Ne Ham Ko Rehbari
Ik Millat Ki Shanakht Di
Ahmed O Iqbal Ke
Khuwabon Ki Jo Tabeer Di
Tera Ehsan Kese Bhooleingey
Tu Hi Hamara Rehnuma

Ae Rooh E Quaid Aj K Din Tera Ehsan Ada Krte Hen

Zulm Ke Aagey Khub Dat Kr
Eeman K Jazbe Se Pat Kr
Beyjigri Se Tu Lar Para
Ilm Ka Alam Buland Kr Kr
Na Dekha Tujh Sa Rehnuma
Jeeta Qalam Se Qom Ka Jisne Muqaddama
Eeman Azam Or Liyaqat Se
Ki Bikhri Qom Ko Yak Numa
Kuffar Ki Gehri Sazish Ki
Ik Parwa Na Ki Nateyjey Ki
Qom Ke Lakhon Khoono Ki
Bil Aakhir Tu Ne Tabeer Di

Pakistan Bana Ke Tu Ne
Qomi Nazariye Ko Pehchan Di
Kese Karen Tera Ehsan Ada
Ae Rooh E Quaid Aj K Din Tera Ehsan Ada Krte Hen

Or Aehad Ke Sath Ae Qadir
Watan Ko Ham Azim Se Azim Ter Banaiengey

Rate it:
Views: 1504
25 Dec, 2008
Related Tags on Occassional / Events Poetry
Load More Tags
More Occassional / Events Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets