Agar Hum Dasht-E-Junun Men Na Ghazal-Khwan Hote
Shahr Hote Bhi To Aawaz Ke Zindan Hote
Tu Ne Dekha Hi Nahin Pyar Se Zarron Ki Taraf
Mauj Aawaz Badal Leti Hai Tufan Hote
Aankh Hoti To Sitare Bhi Numayan Hote
Mazi O Dosh Ka Har Dagh Hai Farda Ka Charagh
Khwab Tabir Se Pahle Hi Pareshan Hote
Zabt-E-Tufan Ki Tabiat Hi Ka Ek Rukh Hai Zamir
Ishq Hi Shola-E-Imkan-E-Sahr Hai Warna
Kash Ye Sham O Sahar Sarf-E-Dil-O-Jaan Hote
Kitne Aabaad Jazire Hain Ki Viran Hote
Zindagi Tere Taqaze Agar Aasan Hote