Ai Aarzu-E-Qatl Zara Dil Ko Thamna
Mushkil Pada Mera Mere Qatil Ko Thamna
Kya Qahr Hai Tabiat-E-Mail Ko Thamna
Sine Pe Hath Dharte Hi Kuchh Dam Pe Ban Gai
Lo Jaan Ka Azab Hua Dil Ko Thamna
Simab-War Mar Gae Zabt-E-Qalaq Se Hum
Sayyaad Ab Qafas Men Anadil Ko Thamna
Girta Hai Dekh Jam-E-Halahil Ko Thamna
Tasir-E-Be-Qarari-E-Nakaam Aafrin
Aasan Nahin Hai Aap Ke Bismil Ko Thamna
Sikhe Hain Mujhse Nala-E-Nai Aasman-Shikan
Mushkil Hua Hai Parda-E-Mahmil Ko Thamna
Ye Zulf Kham-Ba-Kham Na Ho Kya Tab-E-Ghair Hai
Tere Junun-Zade Ki Salasil Ko Thamna
Muztar Hun Kis Ka Tarz-E-Sukhan Se Samajh Gaya
Ho Sarsar-E-Fughan Se Na Kyunkar Wo Muztarib
Aaghosh-E-Gor Ho Gai Aakhir Lahuluhan
Ai Charkh Apne Tu Mah-E-Kaamil Ko Thamna
Baqi Hai Shauq-E-Chaak-E-Gareban Abhi Mujhe
Ai Hamdam Aah Talkhi-E-Hijran Se Dam Nahin
Bas Ai Rafugar Apni Anamil Ko Thamna
Mat Mangiyo Aman Buton Se Ki Hai Haram
Hai Kaam Un Se Shokh-E-Shamail Ko Thamna
Momin Zaban-E-Behuda Sail Ko Thamna
Ab Zikr Kya Hai Sama-E-Aqil Ko Thamna
Dekhe Hai Chandni Wo Zamin Par Na Gir Pade