Add Poetry

Ai Jazba-E-Dil Gar Main Chahun Har Chiz Muqabil Aa Jae

Poet: BEHZAD LAKHNAVI By: Khawaja Mussadiq Rafiq, Karachi

Ai Jazba-E-Dil Gar Main Chahun Har Chiiz Muqabil Aa Jaa.E
Manzil Ke Liye Do Gaam Chalun Aur Samne Manzil Aa Jaa.E

Ai Dil Ki Lagi Chal Yunhi Sahi Chalta To Huun Un Ki Mahfil Men
Us Vaqt Mujhe Chaunka Dena Jab Rang Pe Mahfil Aa Jaa.E

Ai Rahbar-E-Kamil Chalne Ko Tayyar To Huun Par Yaad Rahe
Us Vaqt Mujhe Bhatka Dena Jab Samne Manzil Aa Jaa.E

Haan Yaad Mujhe Tum Kar Lena Avaz Mujhe Tum De Lena
Is Rah-E-Mohabbat Men Koi Darpesh Jo Mushkil Aa Jaa.E

Ab Kyuun Dhundun Vo Chashm-E-Karam Hone De Sitam Bala-E-Sitam
Main Chahta Huun Ai Jazba-E-Ġham Mushkil Pas-E-Mushkil Aa Jaa.E

Is Jazba-E-Dil Ke Baare Men Ik Mashvara Tum Se Leta Huun
Us Vaqt Mujhe Kya Lazim Hai Jab Tujh Pe Mira Dil Aa Jaa.E

Ai Barq-E-Tajalli Kaundh Zara Kya Mujh Ko Bhi Muusa Samjha Hai
Main Tuur Nahin Jo Jal Ja.Un Jo Chahe Muqabil Aa Jaa.E

Kashti Ko Khuda Par ChhoḌ Bhi De Kashti Ka Khuda Khud Hafiz Hai
Mushkil To Nahin In Maujon Men Bahta Hua Sahil Aa Jaa.E
 

Rate it:
Views: 1208
04 Nov, 2019
More Behzad Lakhnavi Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets