Aisa hai ke sab khawab musalsal nahi hotay
Jo aaj to hotay hain magar kal nahi hotay
Andar ki fizaon ke krshme bhi ajab hain
Meen toot ke barsay bhi to baadal nahi hotay
Kuch mushkilain aisi hain ke aasan nahi hoten
Kuch aisay muamay hain kabhi hal nahi hotay
Shayastagi gham ke sabab aankhon ke sehraa
Nmnak to ho jatay hain jal thal nahi hotay
Kaisay hi talatum hon magar qalzum jaan mein
Kuch yaad jazeeray hain ke oojhal nahi hotay
Ashaaq ke manind kayi ahal hawas bhi
Pagal to nazar atay hain pagal nahi hotay
Sab khuwaishe poori hon faraz aisa nahi hai
Jaisay kayi ashaar mukammal nahi