Allah tala insan sa farmata hai

Poet: Fatima sajid sulehria By: Ms.Sajid sulehria,usa, chicago,usa

meri taraf aa ka to dakh
 matwaja na hoo to kahna
meri rah per chal ka to dakh
rahain na khol doon to kahna
mujay rab maan kar to dakh
sab sa benaiz na kar doon to kahna
muj sa sawal kar ka to dakh
bakshih ki haad na kar doon to kahna
mera khof sa ansoo baha kar to dakh
mugfrat ka daria na baha doon to kahna
bilahir mera ho ka to dakh
har hisi ko tera na bana doon to kahna

Rate it:
Views: 1799
06 Jun, 2009