✕
Poetry
Famous Poets
Allama Iqbal
Ahmed Faraz
Amjad Islam Amjad
Wasi Shah
Parveen Shakir
More Poets
Poetry Categories
Love Poetry
Sad Poetry
Friendship Poetry
Islamic Poetry
Punjabi Poetry
More Categories
Poetry SMS
Poetry Images
Tags
Poetry Videos
Featured Poets
Post your Poetry
News
Business
Mobile
Articles
Islam
Names
Health
Shop
More
WOMEN
AUTOS
ENews
Recipes
Poetries
Results
Videos
Directory
Photos
Business & Finance
Education News
Add Poetry
Home
LOVE POETRY
SAD POETRY
FAMOUS POETS
POETRY IMAGES
POETRY VIDEOS
NEWS
ARTICLES
MORE ON POETRY
Home
Urdu Poetry
Featured Poets
Amir Muaan
Search
Add Poetry
Poetries by Amir Muaan
بے وجہ اس کو یاد کیا کرتے
بے وجہ اس کو یاد کیا کرتے
ذکر غم کر دیا بہانے سے
سارا دریا لٹا دیا ہم نے
خود ہیں پیاسے مگر زمانے سے
ان کی آنکھوں میں اک نمی سی ہے
رو رہے ہیں وہ میرے جانے سے
اس سے بہتر ہے اس سےمل آؤ
بے وجہ دل کو ہوں جلانے سے
ان کو تشویش ہے فقط اتنی
آنسو آئے نہ کیوں رلانے سے
ریت پر دل بنا کے وہ میرا
خوب ہنستے ہیں پھر مٹانے سے
عامر معان
Copy
زہر محبوب کے ہاتھوں سے پیا کرتے ہیں
زہر محبوب کے ہاتھوں سے پیا کرتے ہیں
ہم تو قاتل کے بھی جینے کی دعا کرتے ہیں
یاد اپنوں کی جب بھی آتی ہے
اشک آنکھوں سے بہا کرتے ہیں
پیار وہ کیوں نہیں ہمیں ملتا
جو کتابوں میں پڑھا کرتے ہیں
دل میں تم کو بسا لیا ہم نے
ساتھ تیرے ہی رہا کرتے میں
لاش کو دیکھ کے رکا نہ کوئی
کیسی دنیا میں جیا کرتے ہیں
amir muaan
Copy
Ye Pyar Ka Hai Hissa
Ye Pyar Ka Hai Hissa, Jurm-E-Wafa Hai Shaed
Ankhon Main Mairay Janan Thori Si Jo Nami Hai
Jis K Saharay Ki Thi Tameer Dil Ki Dunya
Dewar Pyar Ki Woh Hum Pe Hai Gir Gae Hai
Tanhae Main Kata Hai Apna Tamam Jevan
Moula Ki Hum Se Shaed Koe Ye Dil Lagi Hai
Hur Shaks Bo Raha Hai Nafrat K Beej Is Main
Dunya Se Phir Gila Hai Ulfat Ki Kiun Kami Hai
Tum Ne Muaan Us Pe Takiya Kia Wafa Ka
Jis Ne Dagha Ki Dolat Dunya Main Bant Di Hai
Amir Muaan
Copy
Ashkon Ki Barsat Hoe Hai
Ashkon Ki Barsat Hoe Hai
Ishq Main Hum Ko Maat Hoe Hai
Rothay Ho Kiun Hum Se Janan
Kia Ghulti, Kia Baat Hoe Hai
Tujh Bin Hur Soo Ghor Andhaira
Bin Chunda K Rat Hoe Hai
Rog Laga Hai Piyar Ka Hum Ko
Majnoun Si Ye Zaat Hoe Hai
Ghair K Sung Jo Khush Hai Sajni
Toheen - E - Jazbaat Hoe Hai
Mmir Muaan
Copy
Ghair Sung Tha Muskaya
Us Ankh Main Nami Dakhi Dil Humara Bhur Aaya
Wo Jo Mairay Zakhmoun Per Ghair Sung Tha Muskaya
Raat Ki Siyahi Se Berh K Teergi Daikhi
Rastay Main Jugnu Ka Tha Makan Nazar Aaya
Mil Gaya Raqeebon Se Ja K Maira Qasid Bhi
Baad Mairay Murnay K Un Ki Woh Khabar Laya
Waz-E-Dushmani Aa Ker Khatm Ho Gai Mujh Per
Maar Ker Mujhay Maira Dushman-E-Jaan Pachtaya
Daikh Ker Humain Ikdam Is Terha Se Shurmaye
Phool Jasiay Chahray Pe Rung-E-Surkh Tha Chahaya
Doston Ki Yari Pe Aagai Hunsi Hum Ko
Waar Un Ka Jab Hum Ne Apni Peeth Pe Paya
Be-Khayali Main Us Ko Choom Aaj Hum Baithay
Shurbati Nigahon Se Pi K Main Jo Lehraya
Shokh Hai Hunsi Us Ki Aankh Main Haaya Bhi Hai
Qad Hai Sanober Sa Zulf Ik Ghana Cha'ya
Maan Hai Ussay Mujh Pe Aur Mairi Mohabbat Per
Warna Tha Raqeebon Ne Kitna Us Ko Behkaya
(Hissar-E-Mohabbat Se Aik Ghazal)
Amir Muaan
Copy
اعلان پہنچا ہے یہ آج شہر میں سب تک
Ai'lan Pohancha Hai Ye Aaj Shahr Main Sab Tak
K Zulm Sehna Magar Shikwa Na Aaye Lab Tak
Main Apnay Shahr Main Dehshat Michanay Walon Se
Ye Poochta Hon K Zinda Raho Gai Tum Kab Tak
Main Mangta Hon Duain Issi Umeed K Sath
K Khak-E-Arz Se Pohanchain Gi Jald Ye Rub Tak
Ye Log Jeenay Nahi Dain Gaay Tum Ko Dharti Pe
Haqooq Apnay Na Cheeno Gay In Se Tum Jab Tak
Sitara-E-Sahari Daikh K Rawana Howa
Pohanch Hi Jaon Ga Manzil Pe Aakhir-E-Shab Tak
Main Aik Hasrat-E-Deedar Lay K Aaya Hon
So Lout K Nahi Jaon Ga Mairi Jan Tab Tak
Amir Muaan
Copy
Taana Zan Ye Dunya Thi Rahaton
Taana Zan Ye Dunya Thi Rahaton K Moasam Main
Ghar Se Hum Nikal Aaye Barishon K Moasam Main
Mujh Sa Koe Nadan Hai, Mujh Sa Koe Pagal Hai
Khawb-E-Wasl Daikhay Hai Hijraton K Moasam Main
Sath Koe Apna Bhi Doston Main Dai Daita
Ro Rahay Thay Hum Tanha Qahqahon K Moasam Main
Ai Khuda-E-Iz-O-Jal Hum Gunah Pe Nadim Hain
Khon Ki Nadi Daikhi Rahmaton K Moasam Main
Khawab Us Ne Dikhlaye Hum Ko Youn Suhanay Kuch
Abdi Neend So Baithay Ratjagon K Moasam Main
Amir Muaan
Copy
ہنس رہے ہو تم لیکن سوچ لو فقط اتنا
Huns Rahay Ho Tum Laikin Soch Lo Faqat Itna
Ashk K Nikalnay Main Dair Kitni Lagti Hai
Be-Wafa Zamanay Se Kia Gila Karain Aakhir
Dost K Badalnay Main Dair Kitni Lagti Hai
Aaj Sath Chulnay Pe Aitraz Hai Tum Ko
Sath Sath Chulnay Main Dair Kitni Lagti Hai
Husn Ko Ye Batla Do Be-Naqab Na Aaye
Warna Dil Machulnay Main Dair Kitni Lagti Hai
Log Ye Samajhtay Hain Ghurq Ho Raha Hon Main
Ye Bata Sambhulnay Main Dair Kitni Lagti Hai
Hai Judai Ka Lamha Ankh Mairi Pur-Num Hai
Dil Lagar Behulnay Main Dair Kitni Lagti Hai
Amir Muaan (Hissar-E-Mohabbat Main Se Intekhab )
Amir Muaan
Copy
آنکھ اور سمندر کا کیا حسین رشتہ ہے
Aankh Aur Samunder Ka Kia Haseen Tauluq Hai
Sung Ka Mairay Sir Ka Kia Haseen Tauluq Hai
Lout Lout Jata Hai Kiun Teri Taraf Janan
Dil Ka Aur Teray Dar Ka Kia Haseen Tauluq Hai
Aaj Pehla Sung Mujh Ko Doston Ne Mara Hai
Be-Wafai Se Zar Ka Kia Haseen Tauluq Hai
Aasman Se Agay Sair Kernay Jata Hon
Khuwaab Aur Tahayur Ka Kia Haseen Tauluq Hai
Phool Hai Na Khushboo Hai Aab Hai Na Saya Hai
Dasht Aur Mairay Ghur Ka Kia Haseen Tauluq Hai
Amir Muaan ( Hissar-E-Mohabbat)
Amir Muaan
Copy
Khomshi K Darya Main Koi Jab
Khomshi K Darya Main Koi Jab Utar Jaye
Aik Aur Dunya Ka Phir Suragh Woh Paye
Rastay Main Jo Mil Ker Ajnabi Sa Ban Jaaye
Kaisay Uss Se Hum Keh Dain Do Ghari Thair Jaye
Kuch Sakoon To Yaro Us Gali Main Aaye Ga
Be-Kali Si Ik Lay Ker Jis Gali Se Hum Aaye
Aaj Hum Ko Batla Do Itni Be-Rukhi Kiun Hai
Khaar Tum Ne Bhaijay Kiun Hum Ne Gul Jo Bhijwaye
Rasta Badalnay Main Dair Kitni Lagti Hai
Jis Ko Hai Gila Hum Se Chor Ker Chala Jaye
Sagharon Se Berh Ker Hai Is Main Kuch Nasha Aisa
Daikh Ker Teri Ankhain Bin Piye Jo Lehraye
Amir Muaan
Copy
La K Mojoun Ne Humain
La K Mojoun Ne Humain Khud Lab-E-Sahil Chora
Waqt-E-Mushkil Main Dua Ne Teri Youn Kaam Kia
Sath Tera Mujhay Hur Khof Se Ghafil Ker Dai
Main Jo Bikhra Bhi Tou Hathon Ne Teray Tham Liya
Apni Ankhon Se Pilatay Ho Tou Ji Kaisay Bharay
Baad Ik Jaam K Phir Aur Naya Jam Piya
Baat Jo Huq Ki Karay Us Ko Bana Do Mujrim
Koun Sa Tum Ne Mujhay Aaj Naya Naam Dia
Khut Ko Lafzon Ki Jaga Ashk Se Tehreer Kia
Ansoun Ne Tou Bohat Aaj Maira Sath Dia
Amir Muaan
Copy
Kuch Khabar Nahin Hum Ko
Kuch Khabar Nahin Hum Ko Apna Ya Paraya Hai
Dhondnay Ye Dil Jis Ko Is Gali Main Aaya Hai
Hum Duaain Daitay Hain Tum Ko Phir Bhi Jan-E-Jan
Gar_Ch Tum Ne Is Dil Ko Be-Panah Sataya Hai
Maar Ker Mujhay Qatil Ghumzada Sa Lagta Hai
Is Liye To Chultay Hain Thora Lurkharaya Hai
Kash Apnay Dil Ki Aag Aashk Se Bujha Saktay
Roth Jab Gaaye Ansu Us Ne Tab Jalaya Hai
Bewafa Zamanay Main Kuch Wafa Shanason Ne
Zikr-E-Dil Zamanay Se Hur Qadam Chupaya Hai
Jal Raha Tha Dil Maira Phir Bhi Shukr Hai Itna
Un Ko Is Tamashay Main Kuch Maza To Aaya Hai
So Rahay Thay Sir Rakh K Aaj Mairay Kandhay Per
Zeest Main Sanum Hum Ne Kuch Maza To Paya Hai
Amir Muaan
Copy
Load More
Famous Poets
Mirza Ghalib
Allama Iqbal
Ahmed Faraz
Amjad Islam Amjad
Wasi Shah
Parveen Shakir
Faiz Ahmed Faiz
Munir Niazi
Jaun Elia
Gulzar
Tahzeeb Hafi
Ali Zaryoun
View More Poets