Ankh uthi mohabbat ne angrai li
Dil ka sauda huya chandi raat mein
Unki nazron ne kuch aisa jaddo kiya
Loot gaye hum to pehli mulaqat mein
Dil lout liya iman lout liya
Khud Tarap kar on ke janib dil gaya
Sharab seekh pay dali kabab sheeshay main
Hum pa assa jadoo kiya Unki nazroo nay
Zindagi Doob Gai on ke Hasin ankhon main
Youn mera piyar ka afsanay ko anjam mila
Kafiyat-e-chasam oski mujha yaad hai Souda
Sagir ko mera hath sa lana ka chala main
Hum hosh bhi apne bhul gaye
Imaan bhi apna bhul gaye
Ik dil hi nahi us bas mein
Hum na jaane kiya kiya bhul gaye
Jo baat thi unko kehne ki
Wo baat hi kehna bhul gaye
Gairon ke fasane yaad rahe
Hum apna fasana bhul gaye
Wo akkay ajj samnay is shaan sa gaya
Hum dekhta he dekhtay Imaan sa gaya
Kya kya nigah e yaar me taseer ho gayi
Bijli kbhii bani kabhi shamsheer ho gayi
Bigri tu aa bani Dil-e-Ishq ke jan per
Dil mian outar gai tu nazar teer ho gayi
Mehfil mein baar baar uni par nazar gayi
Humne bachai lakh magar phir udar gayi
Unki nigah mein koi jadoo zaroor
Jis par padi usi ke jigar mein utar gayi
Wo muskar ka dekhna on tu thi adda
Hum ba taray tarap outha aur jan sa gayi
Attay he onkay bazam kuch is tarhay howa
Seesha say rind Shiekh bhi Quran sa gayi
Oun ankhoo ka liya dil pa assar jatay hain
Mainkday hath bharhatay hai jidhar jatayian hain
Bhoolte he nahi dil ko mera mastana nigha
Sath jata hai ye Mainkhana jidhar jatayian hain
On ka andaz nay mujha ko bakhuda lout liya
Dai ka majboor ko paighame-e-wafa lout liya
Samna hota he jo kuch mila lout liya
Kya batoon kay nazar miltay he kya lout liya
Nargasi ankhon na Iman mera lout liya
Banke tasweer-e-ghum reh gaye hain
Khoye khoye se hum reh gaye hain
Bant li sabne aapas mein khushiyaan
Mere hisse mein ghum reh gaye hain
Ab na uthna sarhane se mere
Ab to ginti ke dum reh gaye hain
Din kata jiss tarhay katta
Lakin raat katti nazar nahi atti
Dil zindgai sa tang hai jeena say Sair hai
Pemana bhar chuka hai chalknay ke dair hai
Qaafila chal ke maanzil pe pahuncha
Thehro thehro mein hum reh gaye hain
Dekh kar un k mangto ki ghairat
Dang ehal-e-karam reh gaye hain
Un ki sattariyan kuch na pucho
Aasiyun k bharam rah gaye hain
Ae sabaa ik zehmat zara phir
Unki zulfon mein hum reh gaye hain
Qayenaten jafaawon wafaaon mein
Eik tum eik hum reh gaye hain
Aaj saqi pila shaikh ko bhi
Ek ye mohtaram reh gaye hain
Dour-e-Mazi ke tasveer akhir
Aya naseeb ek hum raah gaya hain
Nazar mila ka meray pass akay lout liya
Khuda ka liya apni nazron ko rouko mera dil lout liya
Jis taraf uth gai he aahain hain
Chashm e baddoor kya nigahain hain
Dil ko oulat poulat ka dikhanay sa faida
Keh tou diya kay bus lout liya lout liya
Hai dosti tu janib-e-dushman na dekhna
Jadu bhara howa hai tumhari nigha main
Karon tareef kya teri nazar ke dil lout liya
Nazar mila ka meray pass akay lout liya
Nazar hati thi ka phir muskra ka lout liya
Koi ya lout tu dekho ka osnay jab chaha
Mujha main rah ker muje main saman ka lout liya
Na louta hum agar on must ankhiyun na jigar
Nazar bachatay howay doob doba ka lout liya
Saath apna wafa main na Chootay kabhi
Piyar ke dour ban kar na tootay kabhi
Chout jaya zamana koi ghum nahi
Hath tera rahay bus mera hath main
Rukh hai barsaat ki dekho zidd mat karo
Yeh Sulakti sham yeh tanhaiyan
Badlon ka sath hum bhi rou diya
Jahan ankhen barsti rahti hoon barsat se pehlay
Waha barsat main badal baras janay sa kya hoga
Yeh beghi rat aur barast ke hawain
Jitna bhola raha outna yaad aa rahain hain
Yeh badal jhoom kar aya tou hain shen-e-gulstan per
Kahin pani na phar jaya kisi ke ehad-o-Painman per
Loug Barast main sou jatain hain khush khush laikn
Mujh ko in ankhon ke barsat nay sona na diya
Rukh hai barsaat ki dekho zidd mat karo
Raat andheri hai badaal hain chhaye huye
Ruk bi jao sanam tum ko meri qasam
Ab kahan jaoge aisi barsaat mein
Jiss tarha chaya wo azma la humain
Muntazir hain bus un ka isharay pa hum
Muskara kar fanaa wo talab tou karain
Jaan bhi apni da dain ga sougat main
Ankh uthi mohabbat ne angrai li
Dil ka sauda huya chandi raat mein