Kya
Kbhi Tm Ne
Apne Kisi Dost Ki
Ankhn Parhi Hn
Un Mn Likhe Hue
Kai
Khuddar Sawal B Hua Krte Hn
Jinhn Aksar
Hm Dosti Ka Dawa Krne Wale
Parh Hi Nhi Paate
Kahin Asa Na
Zindadgi Mn
Koi Bara Khala Reh Jay
Waqt Ka Marham B
Be Asar Nazar Aay
Waswason Ki Auss
Andar K Khaiton Mn Utarne Lage
Koi Namaloom Si
Udasi Tmko Aa Ghairy
Aur Tm Hawa Mn
Khushk Aur
Khizan Zada Patte Ki Tarah Kanpne Lago
Aur Ye Shagufta Aankhn
Sawan Bhado Bn Jain
Apni Be Hoshi K Alam Mn B
Wo Sirf Tmhe Pukary
Aur Phr Yunhi
Kisi Anjan Jahan K
Anjan Safar Pe Chal Nikle
Aur Tmhare Andar
Sirf
Kohraam Machalta Reh Jay
Is Se Pehle K
Yadon K Pevand Lagane K Bawajood
Judai K Kanty
Rooh K Libas Ko
Jaga Jaga Se Chhalni Kr Dn
Tm Uski Ankhon Mn
Wo Khuddar Sawal Parh Lena
K Dost Ki Koi Baat
Radd Nhi Kya Krte
Uski
Sari Ki Sari Baton Ko
Maan Lya Krte Hn