Apne Hathon Ki Lakiron Mein Basale Mujhko
Main Hun Tera Nasib Apna Bana-Le Mujhko
Mujhse Tu Puchne Aya Hai Wafa Ke Maeni
Yeh Teri Sada Dili Mar Na Dale Mujhko
Main Samandar Bhi Hun Moti Bhi Hun Ghotazan Bhi
Koi Bhi Nam Mera Ley Ke Bulale Mujhko
Tune Dekha Nahin Aine Se Aagey Kuch Bhi
Khuda-Parasti Mein Kahin Tu Na Ganwale Mujhko
Kal Ki Bat Aur Hai Main Ab Sa Rahun Ya Na Rahun
Jitna Ji Chahe Tera Aj Satale Mujhko
Khud Ko Main Bant Na Dalun Kahin Daman Daman
Kar Diya Tune Agar Mere Hawale Mujhko
Main Jo Kanta Hun To Chal Mujh Se Bacha-Kar Daman
Main Hun Gar Phool To Jurey Mein Sajale Mujhko
Main Khule Dar Ke Kisi Ghar Ka Hun Saman Pyare
Tu Dabe Paon Kabhi Aa Ke Churale Mujhko
Tark-E-Ulfat Ki Qasam Bhi Koi Hoti Hai Qasam
Tu Kabhi Yad To Kar Bhulane-Wale Mujhko
Bada Phir Bada Hai Main Zehar Bhi Pi Jaoun "Qateel"
Shart Ye Hai Koi Bahon Mein Sambhale Mujhko