Add Poetry

Apne Sab Yaar Kaam Kar Rahe Hain

Poet: Jaun Elia By: Dua Nasir, Islamabad

Apne sab yaar kaam kar rahe hain,
Aur hum hain ke naam kar rahe hain,

Tegh-baazi ka shauq apni jagah,
Aap to qatl-e-aam kar rahe hain,

Daad-o-tehseen ka yeh shor hai kyun,
Hum to khud se kalaam kar rahe hain,

Hum hain masroof-e-intizaam magar,
Jaane kya intizaam kar rahe hain,

Hai woh bechaargi ka haal ke hum,
Har kisi ko salaam kar rahe hain,

Aik qataala chahiye hum ko,
Hum yeh elaan-e-aam kar rahe hain,

Na uthe aah ka dhuaan bhi ke woh,
Ku-e-dil main khiraam kar rahe hain,

Us ke honton pe rakh ke hont apne,
Baat hi hum tamaam kar rahe hain,

Hum ajab hain ke us ke kuchay main,
Be-sabab dhoom-dhaam kar rahe hain..

Rate it:
Views: 1045
22 Dec, 2020
Related Tags on Jaun Elia Poetry
Load More Tags
More Jaun Elia Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets