Add Poetry

AQA Teri Nagri

Poet: RIDA AMANAT By: RIDA AMANAT, khanewal

AQA Teri Nagri Ki Bari Dhoom Machi Hai
Mangi Jo Tery Dar Se Wo Hr Cheez Mili Hai

Bs Zikr-E-Mohammad Hi Issy Rakhy Hai Abad
Kitni Hi Ajab Meri Bhi Ye Dil Nagri Hai

Kuch Aisa Maza Rakha Hai Ae Saqi K Tujh Me
Hr Bar K Bujhny Pe Bhi Tishngi Aor Brhi Hai

Maqbool Hai Un Ki Dua Aor Wo Hain Hmary
Ye Rab K Karm Ki Rida Hm Pe Tani Hai

Un Ki Raahy Ata Pe Hova Jo Bhi Gda Hai
Phir Shahoon Se Barh Kr Hi Usy Shan Mili Hai

Tery Aik Tbasam Pe Do`Aalm Bhi Fida Hai
Aisy Hi Nhi Khushioun Ki Barat Rachi Hai

Be Rang Thi Tasweer-Jahaan Teri Khusboo Se Pehly
Or Ismy Muhammad Se Fizaay Jahaan Jhoom Uti Hai

‘Mafateh’ka‘Meem Hay’or‘Mqaleed’ Ka‘Meem Dal’
Dhonda To Ye Kunji To Tery Pas Mili Hai

 

Rate it:
Views: 377
23 Jan, 2012
More Religious Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets