Arz-o-sama kahan teri wusat ko pa sake
mera hi dil hai vo ki jahan tu sama sake
vahdat men teri harf dui ka na aa sake
aina kya majal tujhe munh dikha sake
main vo fatada huun ki baghair-az-fana mujhe
naqsh-e-qadam ki tarah na koi utha sake
qasid nahin ye kaam tira apni raah le
us ka payam dil ke siva kaun la sake
ghafil khuda ki yaad pe mat bhuul zinhar
apne taiin bhula de agar tu bhula sake
ya-rab ye kya tilism hai idrak-o-fahm yaan
daude hazar aap se bahar na ja sake
go bahs kar ke baat bi.thai bhi kya husul
dil se utha ghilaf agar tu utha sake
itfa-e-nar-e-ishq na ho ab-e-ashk se
ye aag vo nahin jise paani bujha sake
mast-e-sharab-e-ishq vo be-khud hai jis ko hashr
ai ‘dard’ chahe laae ba-khud phir na la sake