Asar Kare Na Kare Sun To Le Meri Faryad
Poet: Allama Iqbal By: Taimur Lohani, PeshawarAsar Kare Na Kare, Sun To Le Meri Faryad
 Nahi Hai Dad Ka Talib Ye Banda’ay Azad
 
 Ye Musht-e-Khaak, Ye Sar Sar, Ye Wusaat-e-Aflak
 Karam Hai Ya Ke Sitam Teri Lazzat-e-Ijad
 
 Thehar Saka Na Huwa’ay Chaman Mein Khaima’ay Gul
 Ye Hai Fasal-e-Bahari, Ye Hai Baad-e-Murad
 
 Kasoorwar, Ghareeb-ud-Diyar Hun, Lekin
 Tera Kharaba Farishte Na Kar Sake Abad
 
 Meri Jafa Talbi Ko Duaen Deta Hai
 Woh Dasht-e-Sada, Woh Tera Jahan-e-Bebunyad
 
 Khatar Pasand Tabiyat Ko Saazgaar Nahin
 Woh Gulistan Ke Jahan Ghaat Mein Na Ho Sayyad
 
 Maqam-e-Shauq Tere Qudsiyon Ke Bus Ka Nahin
 Unhi Ka Kaam Hai Ye Jin Ke Hosle Hain Zayyad
More Allama Iqbal Poetry







 
  
  
  
  
  
  
  
  
  
  
 