Add Poetry

Asar Usko Zara Nahin Hota

Poet: MOMIN KHAN MOMIN By: Khawaja Mussadiq Rafiq, Karachi

Asar Us Ko Zara Nahin Hota
Ranj Rahat-Faza Nahin Hota

Bevafa Kahne Ki Shikayat Hai
To Bhi Vada-Vafa Nahin Hota

Zikr-E-Aghyar Se Hua Ma.Alum
Harf-E-Naseh Bura Nahin Hota

Kis Ko Hai Zauq-E-Talkh-Kami Lek
Jang Bin Kuchh Maza Nahin Hota

Tum Hamare Kisi Tarah Na Hue
Varna Duniya Men Kya Nahin Hota

Us Ne Kya Jaane Kya Kiya Le Kar
Dil Kisi Kaam Ka Nahin Hota

Imtihan Kijiye Mira Jab Tak
Shauq Zor-azma Nahin Hota

Ek Dushman Ki Charkh Hai Na Rahe
Tujh Se Ye Ai Dua Nahin Hota

Aah Tul-E-Amal Hai Roz-Fuzun
Garche Ik Mudda.a Nahin Hota

Tum Mire Paas Hote Ho Goya
Jab Koi Dusra Nahin Hota

Hal-E-Dil Yaar Ko Likhun Kyunkar
Haath Dil Se Juda Nahin Hota

Rahm Bar-khasm-E-Jan-E-ghair Na Ho
Sab Ka Dil Ek Sa Nahin Hota

Daman Us Ka Jo Hai Daraz To Ho
Dast-E-ashiq Rasa Nahin Hota

Chara-E-Dil Siva.E Sabr Nahin
So Tumhare Siva Nahin Hota

Kyuun Sune Arz-E-Muztar Ai 'Momin'
Sanam akhir khuda Nahin Hota

 

Rate it:
Views: 2739
23 Sep, 2019
More Momin Khan Momin Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets