Ash.ar Mire Yuun To Zamane Ke Liye Hain
Kuchh Sher Faqat Un Ko Sunane Ke Liye Hain
Ab Ye Bhi Nahin Thiik Ki Har Dard Mita Den
Kuchh Dard Kaleje Se Lagane Ke Liye Hain
Socho To BaḌi Chiiz Hai Tahzib Badan Ki
Varna Ye Faqat Aag Bujhane Ke Liye Hain
ankhon Men Jo Bhar Loge To Kanton Se Chubhenge
Ye ḳhvab To Palkon Pe Sajane Ke Liye Hain
Dekhūn Tire Hathon Ko To Lagta Hai Tire Haath
Mandir Men Faqat Diip Jalane Ke Liye Hain
Ye Ilm Ka Sauda Ye Risale Ye Kitaben
Ik Shaḳhs Ki Yadon Ko Bhulane Ke Liye Hain