Add Poetry

ASHRAFUL MAKHLUQAT

Poet: abdul hameed kohati By: abdul hameed, kohat

Khak Hun, Napak Hun Ya Ashraful Makhluqat Hun
Ek Ibtida Ek Intiha Bana Hamnashen, Intihayae Khalqiat Hun

Mire Hasad Se Jal Gia Wo, Esi Tajjaliat Hun
Jo B Hun, Kuch B Nahin Mgr Teri Rehmat Ka Saa E Iltifat Hun

Mila Muqam Tujh Se Alaihissalam
Utra Mujh Per Frishta Aala Muqam
Betha Khak Per Mila Tera Pegham
Uter Kr Khud Tu Ne Kia Kalam
Jibreel Ne B Aakr Diya Salam
Hairan Hain Arz U Sama
Aatish Hay Bard U Salam
Asra Be Abdihi , Atmam E Ikram
Ho Na Kiun Fakhr, Masjud E Malakyat Hon
Jo B Hun Kuch B Nahin Mgr Teri Rehmat Ka Saa E Iltifat Hun

Raziallahu Anhu, Mila Dosra Inaam
Prwana E Siraj E Muneer Huwa Sharf E Dawam

[ASHRAFULMAKHLOQAT]
Sani E Isnain Huwa , Utra Salam
Taide Arsh Mili , Na Ho Koyi Umer Sa Imam
Aaqa Huwa , Bane Qaisari Ghulam
Basharat Mili, Qabal Al Meezan
Tire Karam Se Hi Sahib Inaamat Hon
Jo Kuch B Hun Kuch B Nahin Mgr Teri Rehmat Ka Saa E Iltifat Hun

Nawazish-E- Rahmatullah Alaih Huwi Her Khasu Aam
Aqeedat Mili Huway Sultan Ghulam
Para Khak Mein , Ta Qiyamat Zinda Hay Nam
Teri Rehmat Se Huwa Khairul Awam
Talib E Maghfirat Hay Banda Aasi. Hameed Nam
Jala Wo Is Liyae , Tere Karam Se Sahib E Kiramat Hun
Jo Kuch B Hun Kuch B Nahin Mgr Teri Rehmat Ka Saa E Iltifat Hun

Rate it:
Views: 2491
18 Aug, 2013
More Religious Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets