✕
Poetry
Famous Poets
Allama Iqbal
Ahmed Faraz
Amjad Islam Amjad
Wasi Shah
Parveen Shakir
More Poets
Poetry Categories
Love Poetry
Sad Poetry
Friendship Poetry
Islamic Poetry
Punjabi Poetry
More Categories
Poetry SMS
Poetry Images
Tags
Poetry Videos
Featured Poets
Post your Poetry
News
Business
Mobile
Articles
Islam
Names
Health
Shop
More
WOMEN
AUTOS
ENews
Recipes
Poetries
Results
Videos
Directory
Photos
Business & Finance
Education News
Add Poetry
Home
LOVE POETRY
SAD POETRY
FAMOUS POETS
POETRY IMAGES
POETRY VIDEOS
NEWS
ARTICLES
MORE ON POETRY
Home
Urdu Poetry
Featured Poets
Asif
Search
Add Poetry
Poetries by Asif
Tujhe Mujhse Mujko Tujse Jo Bohat Hi Pyar Hota
Tujhe Mujhse Mujko Tujse Jo Bohat Hi Pyar Hota
Na Tujhe Qaraar Hota Na Mujhe Qaraar Hota
Tera Har Marz Ulajhta Meri Jaan-e-natwaan Se
Jo Tujhe Zukaam Hota Tou Mujhe Bukhaar Hota
Jo Mein Tujko Yad Karta Tujhe Cheenkna Bhi Parta
Mere Sath Bhi Yakeenan Yehi Bar Bar HotaKisi Chowk Mein Lagate Koi Chooriyon Ka Khokha
Tere Sheher Mein Bhi Apna Koi Karobaar Hota
Gham-o-ranj Aashiqana Nahin Calculator’aana
Isey Mein Shumaar Karta Jo To Be’shumaar Hota
Wahan Zer-e-behess Atey Khat-o-haal O Huye-hubaan
Gham-e-ishq Per Jo Anwar Koi Seminar Hota
Rizwan
Copy
Yeh Dostoor-E-Zamana Hai
Kisi Se Kya Gila Karna Yeh Dostoor-E-Zamana Hai
Naye Jab Dost Miltay Hain Puraanay Bhool Jatay Hain
Haris
Copy
Chaadar-E-Mehtaab
Chaadar-E-Mehtaab Upar Aur Neechey Thi Zameen
Yu’n Mera Footpath Par Bistar Mukammal Ho Gaya
Uzair
Copy
Tere liye
Jab Bhi Kehta Hoon Koi Taaza Ghazal Tere Liye
Mere Ehsaas Mein Khilte Hain Kanwal Tere Liye
Usama
Copy
Maan Achi Tarah Tyar Karna Aj Mera Akhri Din Hai
Maan Achi Tarah Tyar Karna Aj Mera Akhri Din Hai
Bohat Sa Pyar Karna Aj Mera Akhri Din Hai
Sabhi Behno Ki Muhabbat Aaj Muje Hi Ko Dey Do
Dil-O-Jaan Nisaar Karna Aj Mera Akhri Din Hai
Abbu Ha Ammi Ha Behan Bhai Ha Saray
Muj Ko Na Shumar Karna Aj Mera Akhri Din Hai
Tumhay Staya Tumhay Rulaya Bohat Dukh Diye Hai Tum Ko
Mujhe Maaf Meray Yaar Karna Aj Mera Akhri Din Hai
Mai Chala Khuda Hafiz Phir Milay Gey Jannat Ma
Maa Akhri Baar Pyar Karna Aj Mera Akhri Din Hai
Kashif
Copy
Umeedon Ka Garam Aur Meetha Chashma Behne Do
Garmi Sardi Ka Ehsaas Badan Per Rehne Do
Apne Mann Ko Tann Ki Sab Takleefain Sehne Do
Apne Kaanon Ko Sab Shor Sharaba Sun’ne Do
Apni Zubaan Ko Saari Sachi Batain Kehne Do
Apni Aankh Ke Chashme Mein Sab Manzar Behne Do
Palkon Ki Is Raah Ke Sarey Kaantey Chun’ne Do
Apni Zaat Ke Pathreeley Aur Banjar-Pan Mein Saad
Umeedon Ka Garam Aur Meetha Chashma Behne Do
Asif
Copy
Phool Khilte Rahein Zindgi Ki Raah Mein
Phool Khilte Rahein Zindgi Ki Raah Mein
Hassi Chamakti Rahe Aapki Nigaah Mein
Kadam Kadam Par Mile Khushi Ki Bahar Aapko
Dil Deta Hai Yehi Dua Baar-Baar Aapko
Fauzia
Copy
When You fall in Love with someone
When You fall in Love with someone
Don’t think just start enjoying it
Because after some time
You will not be in position to enjoy anything
Kashif
Copy
Agar Yon Hi Ye Dil Satata Rahega
Agar Yon Hi Ye Dil Satata Rahega
To Ik Din Mera Ji Hi Jata Rahega
Main Jata Hun Dil Ko Tere Pas Chore
Meri Yad Tujhko Dilata Rahega
Gali Se Teri Dil Ko Le To Chala Hun
Main Pahunchunga Jab Tak Ye Ata Rahega
Qafas Main Koi Tum Se Ai Ham-Safiron
Khabar Kal Ki Hamko Sunata Rahega
Khafa Ho K Ai ?Dard? Mar To Chala Tu
Kahan Tak Gam Apna Chupata Rahega
Kamran
Copy
Tujh Se Gilay Karoon Tujhe Janaa’n Manaaon Main
Tujh Se Gilay Karoon Tujhe Janaa’n Manaaon Main
Ik Bar Apne Aap Mein Aaon To Aaon Main
Dil Se Sitam Ki Be’saro Kaari Hawaa Ko Hai
Woh Gard Urraa Rahi Hai Ke Khud Ko Ganwaaon Main
Naadim Hoon Woh Ke Jis Pe Nadaamat Bhi Ab Nahin
Woh Kaam Hain Ke Apni Judai Kamaaon Main
Kyon’kar Ho Apne Khawab Ki Aankhon Mein Wapsi
Kis Taur Apne Dil Ke Zamamon Mein Jaaon Main
Ik Rang Si Kamaa’n Ho Khushbu Sa Ik Teer
Marham Si Ik Wardaat Ho Aur Zakham Khaon Main
Shikwa Sa Aik Dareecha Ho Nasha Sa Ik Sakoot
Ho Shaam Aik Sharab Si Aur Larr’khraon Main
Phir Is Gali Se Apna Guzar Chahta Hai Dil
Ab Is Gali Ko Kaunsi Basti Se Laaon Main
Mohammad Asif
Copy
Jo Koi Hans Ke Mila Us Se Dosti Karli
Aey Khaloos Kaho Ya Hamari Nadaani
Jo Koi Hans Ke Mila Us Se Dosti Karli
Haris
Copy
Darwaza Khula Rakhna
Dil Dard Ki Shiddat Se Khoon-Gashta-O-See Paara
Is Sheher Mein Phirta Hai Ek Wehshee-O-Awara
Shayar Hai Ke Aashiq Hai Jogi Hai Ke Banjara
Darwaza Khula Rakhna
Seene Se Ghata Uthe Aankhon Se Jhari Barse
Phaagan Ke Nahi Badal Jo Chaar Ghadi Barse
Barkha Hai Ye Bhaado Ki Barse To Badi Barse
Darwaza Khula Rakhna
Aankhon Mein Ek Alam Aankhon Mein To Duniya Hai
Honthon Pe Magar Mohrein Munh Se Nahi Kehta Hai
Kis Chiz Ko Kho Baitha Hai Kya Dhundne Nikla Hai
Darwaza Khula Rakhna
Haan Thaam Mohabbat Ki Gar Thaam Sake Dori
Sajan Hai Tera Sajana Ab Tujhse To Kya Chori
Yeh Jis Ki Manaadi Hai Basti Mein Teri Gori
Darwaza Khula Rakhna
Shikwon Ko Utha Rakhna Aankhon Ko Bichha Rakhna
Ek Shama Dareeche Ke Chaukhat Pe Jala Rakhna
Mayoos Na Phir Jaaye Haan Paas-E-Wafa Rakhna
Darwaza Khula Rakhna Darwaza Khula Rakhna
Fauzia
Copy
Aj Unhen Kuch Is Tarah Ji Khol Kar Dekha Kiye
Aj Unhen Kuch Is Tarah Ji Khol Kar Dekha Kiye
Ek Hi Lamhe Mein Jaise Umr Bhar Dekha Kiye
Dil Agar Betab Hai Dil Ka Muqaddar Hai Yahi
Jis Qadar Thi Ham Ko Taufiq-E-Nazar Dekha Kiye
Khudfaroshana Ada Thi Meri Surat Dekhna
Apne Hi Jalwe Ba-Andaz-E-Digar Dekha Kiye
Nashanas-E-Gam Faqat Dad-E-Hunar Dete Rahe
Ham Mata-E-Gam Ko Ruswa-E-Hunar Dekha Kiye
Dekhne Ka Ab Ye Alam Hai Koi Ho Ya Na Ho
Ham Jidhar Dekha Kiye Pehron Udhar Dekha Kiye
Husn Ko Dekha Hai Main Ne Husn Ki Khatir ?Hafeez?
Warna Sab Apna Hi Mear-E-Nazar Dekha Kiyea
Kashif
Copy
Toot Jaonga, Bikhar Jaonga
Tujh Se Bichda Tou Kidher Jaonga ?
Mein Tou Be-Chaini Se Mar Jaonga
Mein Tou Aisay Nahi Jaanay Waala
Chaand Doobay Ga Tou Ghar Jaonga
Moutyon Se Bhara Bartan Hun Mein
Toot Jaonga, Bikhar Jaonga
Mein Tou Sehma Howa Sannata Hun
Apni Awaaz Se Dar Jaonga
Mein Agar Koi Samandar Bhi Hun
Ik Tere Dard Se Bhar Jaonga
Waqt Ke Rath Se Mein “Farhat Abbas”
Kaheen Chup Chaap Bikhar Jaonga
Hamza
Copy
Ranj Ki Jab Guftaguu Honay Lagi
Ranj Ki Jab Guftaguu Honay Lagi
Aap Se Tum Tum Se TU Honay Lagi
Chahye Paighambar Dono Taraf
Lutf Kia Jab Du-Ba-Du Honay Lagi
Meri Ruswayi Ki Naubat Aagayi
Unki Shohrat Qu-Ba-Qu Honay Lagi
Bay Niazi Badh Gayi Hai Is Qadar
Aarzoo Ki Aarzoo Honay Lagi
Ab Tou Mil Kar Dekhye Kya Rang Ho
Phir Hamari Justajuu Honay Lagi
“Daagh” Itraaye Howay Phirtay Hain Aaj
Shaayad Unki Aabruu Honay Lagi
Hamad
Copy
Age Bare Na Qissa-E-Ishq-E-Butan
Age Bare Na Qissa-E-Ishq-E-Butan Se Ham
Sab Kuch Kaha Magar Na Khule Razdan Se Ham
Ab Bhagte Hain Saya-E-Ishq-E-Butan Se Ham
Kuch Dil Se Hain Dare Hue Kuch Asman Se Ham
Hanste Hain Us K Giriya-E-Beikhtiyar Par
Bhule Hain Bat Kah K Koi Razadan Se Ham
Ab Shauq Se Bigar K Baten Kiya Karo
Kuch Pa Gaye Hain Ap Ki Tarz-E-Bayan Se Ham
Jannat Mein Tu Nahin Agar Ye Zakhm-E-Teg-E-Ishq
Badlenge Tujhko Zindagi-E-Jawidan Se Ham
Kashif
Copy
Kya Kahun Tum Se Main Ke Kya Hai Ishq
Kya Kahun Tum Se Main Ke Kya Hai Ishq
Jaan Ka Rog Hai Bala Hai Ishq
Ishq Hi Ishq Hai Jahaan Dekho
Saare Aalam Mein Bhar Raha Hai Ishq
Ishq Maashuq Ishq Aashiq Hai
Yaani Apna Hi Mubtala Hai Ishq
Ishq Hai Tarz-O-Taur Ishq Ke Taeen
Kahin Banda Kahin Khuda Hai Ishq
Kaun Maqsad Ko Ishq Bin Pohuncha
Aarzoo Ishq Wa Mudda Hai Ishq
Koi Khwaahan Nahin Mahabbat Ka
Tu Kahe Jins-E-Narawa Hai Ishq
Mir Ji Zarad Hote Jaate Hain
Kya Kahin Tum Ne Bhi Kiya Hai Ishq
Kashif
Copy
Ab K Barsat Ki Rut Aur Bhi Bharkili Hai
Ab K Barsat Ki Rut Aur Bhi Bharkili Hai
Jism Se Ag Nikalti Hai, Qaba Gili Hai
Sochta Hun K Ab Anjam-E-Safar Kya Hoga
Log Bhi Kanch K Hain, Rah Bhi Pathrili Hai
Shiddat-E-Karb Main To Hansna Karb Hai Mera
Hath Hi Sakht Hain Zanjir Kahan Dhili Hai
Gard Ankhon Main Sahi Dag To Chehre Pe Nahi
Lafz Dhundhale Hain Magar Fikr To Chamkili Hai
Ghol Deta Hai Samaat Main Wo Mitha Lahja
Kis Ko Malum K Ye Qind Bhi Zahrili Hai
Pahle Rag-Rag Se Meri Khun Nichora Us Ne
Ab Ye Kahata Hai K Rangat Hi Meri Pili Hai
Mujhko Be-Rang Hi Na Karde Kahin Rang Itne
Sabz Mausam Hai, Hawa Surkh, Fiza Nili Hai
Meri Parwaz Kisi Ko Nahi Bhati To Na Bhaye
Kya Karun Zehan ?Muzaffar? Mera Jibraili Hai
Kashif
Copy
Teri Zulfon Ke Bikharnay Ka Sabab Hai Koi
Teri Zulfon Ke Bikharnay Ka Sabab Hai Koi
Aankh Kehti Hai Tere Dil Mein Talab Hai Koi
Aanch Aati Hai Tere Jism Ki Uryaani Se
Pairhan Hai Ke Sulagti Howi Shab Hai Koi
Hosh Uraanay Lageen Phir Chaand Ki Thandi Kirnain
Teri Basti Mein Hun Ya Khwaab-e-Tarb Hai Koi
Geet Banti Hai Tere Sheher Ki Bharpoor Hawa
Ajnabi Mein Hee Nahi TU Bhee Ajab Hai Koi
Lye Jaati Hain Kisi Dehaan Ki Lehrain “Nasir”
Door Tak Silsila Taak-e-Tarb Hai Koi
Kamran
Copy
Teri Nazar Ka Rang Bahanon Ne Le Liya
Teri Nazar Ka Rang Bahanon Ne Le Liya
Afsurdgi Ka Roop Taraano’n Ne Le Liya
Jin Ko Bhari Bahaar Mein Ghunchay Na Keh Sake
Woh Waaqeyaa Bhi Mere Fasaanon Ne Liya
Shayed Milay Ga Qaryaa Mehtaab Mein Sakoon
Ehl-E-Fard Ko Aese Gumaano’n Ne Le Liya
Yazwaa’n Se Bacha Raha Tha Jalalat Ka Ek Lafz
Us Ko Haram Ke Shokh Beyaano’n Ne Le Liya
Teri Adaa Se Ho Na Saka Jis Ka Faisla
Woh Zindagi Ka Raaz Fashaano’n Ne Le Liya
Afsaana Hayaat Ki Takmeel Ho Gayi
Apno’n Ne Le Liya Ke Begaano’n Ne Liya
Bholi Nahin Woh Qos-E-Qazaah Ki Si Surtain
Saghir Tumhain To Mast Dheyaano’n Ne Le Liya
Hamad
Copy
Load More
Famous Poets
Mirza Ghalib
Allama Iqbal
Ahmed Faraz
Amjad Islam Amjad
Wasi Shah
Parveen Shakir
Faiz Ahmed Faiz
Munir Niazi
Jaun Elia
Gulzar
Tahzeeb Hafi
Ali Zaryoun
View More Poets