Add Poetry

Ay Husn-e-Kayenaat, Ay Jaan-e-Kayenaat

Poet: Aamir Hasan By: Aamir Hasan, Kamalia

Ay Husn-e-Kayenaat Ay Jaan-e-Kayenaat
Teri Deed Hi Hai Janaan Unwaan-e-Kayenaat

Tera Wajood Jaan Hai Aalam Ki Is Liye K
Tu Bayis-e-Rangeeni-o-Shaan-e-Kayenaat

Teri Ik Adaa Mein Janaan Baharayn Hein Chupen
Teri Aankh Ka Dewaan Hai Dewaan-e-Kayenaat

Jis Nay Tujhay Hai Dekha Wo Hua Tera Hi Taalib
K Mainay Tujh Mein Paaya Saamaan-e-Kayenaat

Teray Husn Ki Tashreeh Tashreeh-e-Kayenaat
Lazim Hai Isko Samjhay Har Insan-e-Kayenaat

Tu Mil Gai To Mil Gai Mujh Ko Kayenaat
Wagarna Nahin Zarurat-e-Saamaan-e-Kayenaat

Teray Husn Nay Sikhai Mujhay Shair Goyi Aamir
Halaan'Kay Main To Shaamil Haqiraan-e-Kayenaat
 

Rate it:
Views: 958
16 Nov, 2014
Related Tags on Urdu Ghazals Poetry
Load More Tags
More Urdu Ghazals Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets