Add Poetry

Ay Wada Shikan Lyrics

Poet: Nusrat Fateh Ali Khan By: Aqib, Lahore

Din dhal gaya suraj ka kahin naam nahi hai
Ae wada shikan ab bhi teri shaam nahi hai

Na dekha hai jaan se hi jaata hai koi
Bahut der ki meherban aate aate

Qayamat ka din aa gaya rafta rafta
Mulakat ka din badalte badalte

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha
Kyun pyar kiya tha jo nibhana hi nahi tha

Yeh kajrawi na meri jaan ikhteyar karo
Jo tumse pyar kare tum bhi usse pyar karo

Is tarah mere haath se daman na chchudao
Dil tod ke jaana tha to aana hi nahi tha

O dil tod ke jaane wale dil ki baat batata ja
Ab main dil ko kya samjhaun tu mujhko samjhata ja

Allah na milne ke bahane the hazaron
Milne ke liye koi bahana hi nahi tha

Dekho mere sar phod ke marne ki ada bhi
Warna mujhe diwana banana hi nahi tha

Rone ke liye sirf muhabbat hi nahi thi
Gham Aur bhi the dil ka fasana hi nahi tha

Ya humse hi keh dena apni dil ki kahani
Ya gosh warawaaz zamana hi nahi tha

Qaisar koi aaya tha meri bakhiyagari ko
Dekha to ghareban ka thikana hi nahi tha

Rate it:
Views: 3589
02 Nov, 2021
Related Tags on Urdu Ghazals Poetry
Load More Tags
More Urdu Ghazals Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets