Add Poetry

Azadi K Din Azadi Ki Baat Keh Dee

Poet: Purki By: M.hasan, Karachi

Kon Bujaye Ga Mulk K Andheroo Ko
Hukmaraa'n Aatey Hein Maal Bananey Ko

Koi Kia Janey Gareeb K Dukhoo Ko
Jo B Aata Hey Loot Khaney Ko

Kash In Ko B Ye Bata Dey Koi
Quin Nasil Bharata Hey Gulam Bananey Ko

Hathoo Me Degriyaa'n Thamey Routoo Pr
Ek Arsey Sey Zinda Hoo Thokrein Khaney Ko

Sufarish Or Rishwat K Bagair Yahaa'n Kutch Nahi Milta
Doondh Raha Hoo'n Kisi MNA Ya MPA Ko

Nokria'n Bikney Lagee Sarkaree Pesoo Mei
Pesoo Ki Sakht Zaroorat Hey Aaj Kal Sarkaar Ko

Kis Tarah Bayan Karoo Mei Is Shehr Ki Halat Purki
Koi Pursan Haal Nahi ,Reh Gaye Bill Bananey Ko

Pani Ho Ya Na Ho Nalkoo Mei
Bill Aata Hey Nak Me Dum Karney Ko

Bijli Ho Ya Na Ho Taroo Mei
Meter Doorta Hey Bill Bharaney Ko

Koi Beemaar Ho Agar Achanak Yahaa'n
Doctor Door Aata Hey Khoon Peeney Ko

Ye Hospital Hey Ya Koi Muzabbih Khana
Her Mareez Tarapta Hey Dekh Kr Qasayee Ko

Koi B Mehfooz Nahi Raha In Mafiawoo Sey
Tamgha Do Paaley Ka In Hukmaranoo Ko

Azadee K Din Azadee Ki Baat Agar Keh Dee
Koi To Hogaa Jo Samjhey Ga Meri Sukhan Ko

Jis Mulk Me Pani,Bijli, Amno Sukoon Na Ho
Unhein Kia Haq Poonchta Hey Azadee Mananey Ko

Chand Mafiawoo Ka Qabza Hey Is Mulk Pr
Baqi Jo Loog Hein Peda Huwa In Ki Khidmat Ko

In Ki Nazar Mei Awam Hein Hashratul Arz
Yahaa'n Kon Suney Ga In Ki Faryadoo Ko
 

Rate it:
Views: 629
14 Aug, 2015
More Political Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets