Add Poetry

Baat Karni Mujhe Mushkil Kabhi Aisi To Na Thi

Poet: Bahadur Shah Zafar By: Khawaja Mussadiq Rafiq, Karachi

Baat Karni Mujhe Mushkil Kabhi Aisi To Na Thi
Jaisi Ab Hai Tiri Mahfil Kabhi Aisi To Na Thi

Le Gaya Chhin Ke Kaun Aaj Tira Sabr O Qarar
Be-Qarari Tujhe Ai Dil Kabhi Aisi To Na Thi

Us Ki Añkhoñ Ne ḳhuda Jaane Kiya Kya Jaadu
Ki Tabi.At Miri Maa.Il Kabhi Aisi To Na Thi

Aks-E-Ruḳhsar Ne Kis Ke Hai Tujhe Chamkaya
Taab Tujh Meñ Mah-E-Kamil Kabhi Aisi To Na Thi

Ab Ki Jo Rah-E-Mohabbat Meñ Utha.I Taklif
Saḳht Hoti Hameñ Manzil Kabhi Aisi To Na Thi

Pa-E-Kubañ Koi Zindañ Meñ Naya Hai Majnuñ
Aati Avaz-E-Salasil Kabhi Aisi To Na Thi

Nigah-E-Yar Ko Ab Kyuuñ Hai Taghaful Ai Dil
Vo Tire Haal Se Ghafil Kabhi Aisi To Na Thi

Chashm-E-Qatil Miri Dushman Thi Hamesha Lekin
Jaisi Ab Ho Ga.I Qatil Kabhi Aisi To Na Thi

Kya Sabab Tu Jo Bigadta Hai 'Zafar' Se Har Baar
ḳhu Tiri Hur-Shama.Il Kabhi Aisi To Na Thi

Rate it:
Views: 1802
18 Sep, 2019
More Bahadur Shah Zafar Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets