Bagh-e-jahan ke gul hain ya khaar hain to hum hain
gar yaar hain to ham hain aghyar hain to hum hain
dariya-e-maarifat ke dekha to ham hain sahil
gar vaar hain to ham hain aur paar hain to hum hain
vabasta hai hamin se gar jabr hai o gar qadr
majbur hain to ham hain mukhtar hain to hum hain
tera hi husn jag men har-chand maujzan hai
tis par bhi tishna-kam-e-didar hain to hum hain
alfaz-e-khalq ham bin sab mohmalat se the
maani ki tarah rabt-e-guftar hain to hum hain
auron se to girani yak-lakht uth gai hai
ai ‘dard’ apne dil ke gar baar hain to hum hain