Add Poetry

BAIT-UL-LLAH (بيت الله)

Poet: Fayaz Mohammed (Shakir) By: Fayaz Mohammed (Shakir), Mumbai-India

Dekh Ke Jisko Dil Nahi Bharta Shar-e-Makkah Aysa Hai
Aankho’n Ko Jo Taazgi Bakhshey Khaan-e-Kaaba Aysa Hai

Dekh Ke Jisko Aankhen Bhar Aayee’n Gaar-e-Hira Bhi Aysa Hai
Jismo’n Mein Wo Taaqat Bhardey Jabal-e-Noor Bhi Aysa Hai

Hum Pahad Chadey Ek Din Wo, Jo Quraa’n Mein Aayat Bani
Dil Mein Basta Har Ek Naqsha, Gaar-e-Hira Bhi Aysa Hai

Rooh Mein Jo Taazgi Bhardey Azaan-e-Haram Bhi Aysi Hai
Allahu Akbar Kehta Mua’zzin Jazb-e-Imaa’n Aysa Hai

Bait-ul-llah Mein Daakhli, Har Baab Ki Alag Kahani Hai
Sunnat Ada Karta Hua Jazba, Bab-us-Salam Aysa Hai

Laut Ke Aaye’n Dil Nahi Karta Chod Ke Ooski Chaukhat Ko
Armano Ki Pyas Bujhaye Aab-e-Zam Zam Aysa Hai

Tawaf Kare’n Oos Ghar Ka, Jismein Hain Rab Ke Nisha’n
Gunah Jazb Karta Hua Manzar, Hajar-e-Aswad Aysa Hai

Laazmi Hai Daudna Safa Marwah Per Aajzi Se
Milti Hai Imaan Ko Quwwat Sunnat-e-Haajra Aysa Hai

Khaan-e-Kaaba Ki Tamiri Dast-e-Khalil-ul-llah Se hui
Qadm-e-Mubarak Ka Wo Manzar Naqsh-e-Ibrahimi Aysa Hai

Aakhri Tausi Shakir Ne Dekhi Mulk-e-Malik Fahad Se
Rehti Dunya Tak Ho Qayam Naqsh-e-Imarat Aysa Hai
 

Rate it:
Views: 630
14 Jul, 2014
More Religious Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets