Balaghal Ula Be Kamalehi Lyrics
Poet: Umar By: Umar, AbbottabadSuhaani raat thi aur pur sukoo(n) zamana tha Asal main dooba hua jazb e aashiqana tha Unhein to arsh pe mehboob ko bulana tha Hawas thi deed ki meraj to bahaana tha Sare la makaa(n) se talab hui Sue muntaha wo chale Nabi Sare la makaa(n) se talab hui Sue muntaha wo chale Nabi Ye jamaal e husn ka mojza Ke firaaq haq bhi na seh saka Sare la makaa(n) se talab hui Sue muntaha wo chale Nabi Shab e meraj liya arsh e baree(n) par bulwae Sadma e hijr khuda se bhi gawara na hua Sare la makaa(n) se talab hui Sue muntaha wo chale Nabi Sare la makaa(n) se talab hui Sue muntaha wo chale Nabi Koi had hai unke urooj ki Balaghal Ula Be Kamalehi Khair ul wara, Sadr us duka Najm ul huda, Noor ul ula Shams ud duha, Badr ud duja Yani Muhammad Mustafa Aqa rawa salaar e dee(n) Ya Rehmatal Lil Alameen Ae muqtada e mursaleen Ae peshwa e Ambiya Jannat nishan e kowe to Wash Shams imaa(n) roe to Wal Lail wasf e loye to Khubi ye ruyat bad Duha Is main to isme azami Jis main to jaan e aalami Zaat e to fakhr e aadmi Shaan e to shaan e kibriya Jo gaya hai farsh se arsh tak Wo buraq le gaya be-dharak Tabak e zamee(n) waraq e falaq Gaye neechy paao(n) say pur sarak Latei(n) zulf ki jo gayi(n) latak To jahaan saara gaya mahak Hogaye mast bulbulay is qadar To ye ghunchay bolay chatak chatak Gaye ghar se charh ke buraq par Shab e wasl e rukh se hui sahar Ye safar tha khoob se khoob tar Yahi tha har ik ki zaban par Koi had hai unke urooj ki Balaghal Ula Be Kamalehi Yehi ibtida yehi intiha Ye faroogh jalwa e haq numa Ke jahaan saara chamak utha Kashafad Duja Be Jamalihi Rukh e Mustafa ki yeh roshni Yeh tajalliyo(n) ki hama hami Kay har aik cheez chamak uthi Kashafad Duja Be Jamalihi Na falak Na chaand tare Na sahar Na raat hoti Na tera Jamaal hota Na ye qainat hoti Kay har aik cheez chamak uthi Kashafad Duja Be Jamalihi Wo sarapa rehmat e kibriya Ke har ik pe jiska karam hua Ye Quran e pak hai barmala Hasunat Jamee o Khisalihi Ye kamaal e haqq e Muhammadi Ke har ik pe chashm e karam hua Sar e Hashr naara e Ummati Hasunat Jamee o Khisalihi Wohi haq nigar wohi haq numa Rukh e Mustafa hai wo aaina Kay Khuda e pak ne khud kaha Sallu Alaihi Wa Aalihi Mera deen ambar e warsi Ba khuda hai ishq e Muhammadi Mera zikr o fikr hai bas yehi Sallu Alaihi Wa Aalihi Chay kun ambayan e kumaleho Balaghal Ula Be Kamalehi Chay farogh karda jamaleho Kashafad Duja Be Jamalihi Munhae ratamza khisaleho Hasunat Jamee o Khisalihi Dil o jaan e maba khayaleho Sallu Alaihi Wa Aalihi Ae mazhar e Noor e Khuda Balaghal Ula Be Kamalehi Maula Ali mushkil kusha Kashafad Duja Be Jamalihi Hasnain jaan e Fatima Hasunat Jamee o Khisalihi Yani Muhammad Mustafa Sallu Alaihi Wa Aalihi