Add Poetry

Barket Bhi Be-Misal

Poet: Rida Amanat By: Rida Amanat, khanewal

Barket Bhi Be-Misal Rif`At Bhi Be-Misal
Naam-E-Nabi Se Milti Hai Azmat Bhi Be-Misal

Zahir Bhi Noor-E-Haq Hai Batin Bhi Nor-E-Haq
Sorat Bhi Be-Misal Seerat Bhi Be-Misal

Un K Lo`Aab-E-Dehn Ko Haatoon Pe Rakh Lia
Khuddam Be-Misal Khidmt Bhi Be-Misal

Wo Jin K Zer-E-Saaya Sitary Sbhi Hovy
As`Hab Be-Misal Thy Suhbat Bhi Be-Misal

Hm Khaak-E-Paay-Mustfa Ankhoon Se Choom Lein
Hai Khawb Be-Misal Ye Haqeet Bhi Be-Misal

Gaar-E-Hira Jo Aaj Bhi Karta Hai Yaad Wo
Banda Bhi Be-Misal Ibadt Bhi Be-Misal

Na Takht Hai Na Taj Hr Ik Dil Aseer Hai
Hakim Bhi Be-Misal Hakomt Bhi Be-Misal

Aalm Ki Rab Ne Unko Rehmt Bna Dia
Rahim Bhi Be-Misal Rehmt Bhi Be-Misal

Toheed Ka Ye Charcha Jahaan Bhar Me Yoon Hova
Hadi Bhi Be-Misal Hidayat Bhi Be-Misal

Hoon Muqtdi Ye Anbia Khwahish Na Kiun Karein
Hai Imam Be Missal Imamt Bhi Be-Misal

Ho Deed Ro-Ey Pak Ki Ankhoon Ki Eid Ho
Manzr Bhi Be-Misal Ziarat Bhi Be-Misal

Aao Chalein K Jurm Wahein Pr Chupeen Gay Sb
Adil Bhi Be-Misal Adalt Bhi Be-Misal

Hai Bhejta Drood-O-Slam Aap Pr Khuda
Mad-Dah Be-Misal Midhat Bhi Be-Misal

Rate it:
Views: 420
28 Aug, 2012
More Religious Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets