Bazicha-E-Atfal Hai Duniya Mire Aage
Hota Hai Shab-O-Roz Tamasha Mire Aage
Ik Khel Hai Aurang-E-Sulaiman Mire Nazdik
Ik Baat Hai Ejaz-E-Masiha Mire Aage
Juz Naam Nahin Surat-E-Alam Mujhe Manzur
Juz Vahm Nahin Hasti-E-Ashiya Mire Aage
Hota Hai Nihan Gard Men Sahra Mire Hote
Ghista Hai Jabin Khaak Pe Dariya Mire Aage
Mat Puchh Ki Kya Haal Hai Mera Tire Pichhe
Tu Dekh Ki Kya Rang Hai Tera Mire Aage
Sach Kahte Ho Khud-Bin O Khud-Ara Huun Na Kyuun Huun
Baitha Hai But-E-A.Ina-Sima Mire Aage
Phir Dekhiye Andaz-E-Gul-Afshani-E-Guftar
Rakh De Koi Paimana-E-Sahba Mire Aage
Nafrat Ka Guman Guzre Hai Main Rashk Se Guzra
Kyunkar Kahun Lo Naam Na Un Ka Mire Aage
Iman Mujhe Roke Hai Jo Khinche Hai Mujhe Kufr
Ka.Aba Mire Pichhe Hai Kalisa Mire Aage
Ashiq Huun Pa Mashuq-Farebi Hai Mira Kaam
Majnun Ko Bura Kahti Hai Laila Mire Aage
Khush Hote Hain Par Vasl Men Yuun Mar Nahin Jaate
Aa.I Shab-E-Hijran Ki Tamanna Mire Aage
Hai Maujzan Ik Qulzum-E-Khun Kaash Yahi Ho
Aata Hai Abhi Dekhiye Kya Kya Mire Aage
Go Haath Ko Jumbish Nahin Ankhon Men To Dam Hai
Rahne Do Abhi Saġhar-O-Mina Mire Aage
Ham-Pesha O Ham-Mashrab O Hamraz Hai Mera
'Ġhalib' Ko Bura Kyuun Kaho Achchha Mire Aage