Be-'Eitadaaliyon Se, Subuk Sab Mein Ham Huve
Jitne Ziyaada Ho Gaye, Utne Hee Kam Huve
Pinhaan Thaa Daam-E-Sakht Qareeb Aashiyaan Ke
Udne Na Paaye The; Ki Giraftaar Hum Huve
Hastee Hamaaree Apnee Fana'a Par Daleel Hai
Yaan Tak Mite Ki Aap Ham Apnee Qasam Huve
Sakhtee_Kashaan-E-Ishq Kee Poochche Hai Kya Khabar ?
Woh Lagaa Rafta-Rafta Sar_Aa_Pa Alam Huve
Teree Wafa Se Kya Ho Talaafee, Ki Dahar Mein
Tere Siwa Bhee Ham Pe Bahut Se Sitam Huve
Likhte Rahe Junoon Kee Hikaayat-E-Khoonchakaan
Harchand Usmain Haath Hamaare Qalam Huve
Alla Re Teree Tundee-E-Khoon, Jiske Beem Se
Azzaa-E-Naala Dil Mein Mere Rizke-Ham Huve
Ahle Hawas Kee Fatah Hai, Tark-E-Nabard-E-Ishq
Jo Paanv Utha Gaye Wahee Unke 'Alam Huve
Naal-E-'Adam Mein Chand Hamaare Supurd The
Jo Waan Na Kheench Sake So Woh Yaan Aake Dam Huve
Choree 'Asad' Na Hamne Gadaaee Mein Dil_Lagee
Saail Huve To Aashiq-E-Ahl-E-Karam Huve