Chamak Utha Jo Sitara Tere Muqaddar Ka
Habash Se Tujh Ko Utha Kar Hijaz Laya
Huwi Issi Se Tere Ghumkade Ki Abadi
Teri Ghulami Ke Sadqe Hazar Azadi
Woh Astan Na Chuta Tujh Se Aik Dam Ke Liye
Kisi Ke Shauq Men Tu Ne Maze Sitam Ke Liye
Jafa Jo Ishq Mein Hoti Hai Woh Jafa Hi Nahin
Sitam Na Ho To Mohabbat Mein Kuch Maza Hi Nahin
Nazar Thi Soorat-e-Salman (R.A.) Ada Shanas Teri
Sharab-e-Deed Se Bharti Thi Aur Piyas Teri
Tujhe Nazare Ka Misl-e-Kaleem(A.S.) Souda Tha
Awais (R.A.) Taqat-e-Deedar Ko Tarasta Tha
Madina Teri Nigahon Ka Noor Tha Goya
Tere Liye To Ye Sehra Hi Toor Tha Goya
Teri Nazar Ko Rahi Deed Mein Bhi Hasrat-e-Deed
Khunak Dile Ke Tapedo Dame Naya Saeeyd
Gari Woh Barq Teri Jaan-e-Nashakaiba Par
Ke Khandazan Teri Zulmat Thi Dast-e-Musa Par
Tapish Za Shaola Griftand Wa Bar-e-Dil Tozand
Che Barq-e-Jalwa Bakhashak-e-Hasil-e-Tozand!
Adaye Deed Sarapa Niaz Thi Teri
Kisi Ko Dekhte Rehna Namaz Thi Teri
Azan Azal Se Tere Ishq Ka Tarana Bani
Namaz Uss Ke Nazare Ka Ek Bahana Bani
Khosha Woh Waqt Ke Yasrab-e-Maqam Tha Uss Ka
Khosha Woh Dour Ke Didar Aam Tha Uss Ka