Bus Ki Dushwaar
Poet: Mirza-E- Gh@lib By: $h@h jI, karachiBus Ki Dushwaar Hai Har Kaam Ka Aasaan Hona
 Aadmee Ko Bhee Muyassar Naheen Insaan Hona
 
 Giriya Chaahe Hai Kharaabee Mere Kaashaane Ki
 Dar-O-Deevaar Se Tapke Hai Bayaabaan Hona
 
 Waa-E-Deewaangee-E-Shauq, Ke Har Dam Mujhko
 Aap Jaana Udhar Aur Aap Hee Hairaan Hona
 
 Jalva Az_Bas Ki Taqaaza-E-Nigah Karta Hai
 Jauhar-E-Aaina Bhee Chaahe Hai Mizhgaan Hona
 
  Ishrat-E-Qatl_Gah-E-'Ehl-E-Tamanna Mat Pooch
 Id-E-Nazzaara Hai Shamsheer Ka Uriyaan Hona 
 
 Le Gaye Khaak Mein Ham Daagh-E-Tamanna-E-Nishaat
 Too Ho Aur Aap Ba_Sad_Rang-E-Gulistaan Hona
 
 Ishrat-E-Paara-E-Dil, Zakhm-E-Tamanna_Khaana
 Lazzat-E-Reesh-E-Jigar Gharq-E-Namakdaan Hona
 
  Kee Mere Qatl Ke Baad Usne Jafa Se Tauba
 Haay Us Zood_Pashemaan Ka Pashemaan Hona 
 
 Haif Us Chaar Girah Kapre Ki Qismat 'Ghalib'
 Jis Ki Qismat Mein Ho Aashiq Ka Girebaan Hona







 
  
  
  
  
  
  
  
  
  
  
 