Chahaten Mausami Parinde Hain Rut Badalte Hi Laut Jate Hain
ghonsle ban ke tuut jaate hain dagh shakhon pe chahchahate hain
aane vaale bayaz men apni jaane walon ke naam likhte hain
sab hi auron ke khali kamron ko apni apni tarah sajate hain
maut ik vahima hai nazron ka saath chhutta kahan hai apnon ka
jo zamin par nazar nahin aate chand taron men jagmagate hain
ye musavvir ajib hote hain aap apne habib hote hain
dusron ki shabahaten le kar apni tasvir hi banate hain
yun hi chalta hai karobar-e-jahan hai zaruri har ek cheez yahan
jin darakhton men phal nahin aate wo jalane ke kaam aate hain