Add Poetry

Chahe Jidhar Bhi Rukh Ho

Poet: SAIF ASHIR By: SAIF ASHIR, Islamabad

Chahe Jidhar Bhi Rukh Ho Hawa Ka Diya Jale
Jab Tak Chala Na Jaaye Andhera Diya Jale

Milta Rahe Jahan Ko Ujala Diya Jale
Dil Ki Ye Aarzoo Hai Hamesha Diya Jale

Ghar Ho Kisi Amir Ka Ya Ho Gharib Ka
Har Ghar Me Aaj Sham Khushi Ka Diya Jale

Dipawali Ki Sham Kuchh Aisi Ho Roshni
Mit Jaye Har Burai Ka Saaya Diya Jale

Taarikiyan Hon Raat Ki Tu Ho Mere Qarib
Dekhun Main Tere Husn Ka Jalwa Diya Jale

Honton Se Tu Pilaye Main Peeta Rahun Sharab
Bujhne Na Paaye, Pyaas Ka Aisa Diya Jale

Fezan Roshni Ho Mohabbat Ki Bazm Me
Shamma Jale Chiragh Jale Ya Diya Jale

Rate it:
Views: 654
22 Apr, 2011
Related Tags on Occassional / Events Poetry
Load More Tags
More Occassional / Events Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets