Chal Aa Ek Aisi Nazam Kahoon
Jo lafz kahoon wo ho jaye
Bus ashk kahoon to ik ansoo
Tere gorey gaal ko dho jaye
Main aa likhoon tu aa jaye
Main baith likhoon tu aa bethey
Mere shaaney par sar rakhey tu
Main neend kahoon tu so jaye
Main kaghaz par tere hont likhoon
Tere honton par muskaan aye
Main dil likhoon tu dil thamey
Main gum likhoon wo kho jaye
Tere hath banaoon pencil se
Phir hath pe tere hath rakhoon
Kuch ulta seedha farz karun
Kuch seedha ulta ho jaye
Main aah likhoon tu haye kare
Bechain likhoon bechain ho tu
Phir bechain ka 'be' katoon
Mujhe chain zara sa ho jaye
Abhi ain likhoon tu sochey mujhe
Phir sheen likhoon tere neend urey
Jab qaaf likhoon tujhe kuch kuch ho
Main ishq likhoon tujhe ho jaye