Add Poetry

Chalne Ka Hausla Nahin Rukna Muhaal Kar Diya

Poet: Parveen Shakir By: Khawaja Mussadiq Rafiq, Karachi

Chalne Ka Hausla Nahin Rukna Muhal Kar Diya
Ishq Ke Is Safar Ne To Mujh Ko Nidhal Kar Diya

Ai Miri Gul-Zamin Tujhe Chaah Thi Ik Kitab Ki
Ahl-E-Kitab Ne Magar Kya Tira Haal Kar Diya

Milte Hue Dilon Ke Biich Aur Tha Faisla Koi
Us Ne Magar Bichhadte Vaqt Aur Saval Kar Diya

Ab Ke Hava Ke Saath Hai Daman-E-Yar Muntazir
Banu-E-Shab Ke Haath Men Rakhna Sambhal Kar Diya

Mumkina Faislon Men Ek Hijr Ka Faisla Bhi Tha
Ham Ne To Ek Baat Ki Us Ne Kamal Kar Diya

Mere Labon Pe Mohr Thi Par Mere Shisha-Ru Ne To
Shahr Ke Shahr Ko Mira Vaqif-E-Hal Kar Diya

Chehra O Naam Ek Saath Aaj Na Yaad Aa Sake
Vaqt Ne Kis Shabih Ko ḳhvab O ḳhayal Kar Diya

Muddaton Ba.Ad Us Ne Aaj Mujh Se Koi Gila Kiya
Mansab-E-Dilbari Pe Kya Mujh Ko Bahal Kar Diya
 

Rate it:
Views: 2188
04 Nov, 2019
Related Tags on Parveen Shakir Poetry
Load More Tags
More Parveen Shakir Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets