Add Poetry

Chalo Ab aisa Karte Hain Sitare Baant Lete Hain

Poet: Faiz Ahmed Faiz By: Salman, Lahore

Chalo ab aisa karte hain sitaary baant lete hain.
Zarurat k mutabiq hum sahary baant lety hain.

Agar amilna nahin mumkin to Lehron per qadam rakh kar,
Abhi darya-e ulfat k kinaary baant lety hain.

Mohabat karne walon ki tijaarat bhi anokhi ha,
Munaafa chhor dety hain khasaary baant lety hain.

Meri Jholi mein jitne bhi wafa k phool hain unko,
Ikathay beth kar saary k saary baant lety hain.

Mohabbat k ilawa pass apne kuchh nahin ab to
Issi dolat ko Hum qismat k maary bant lety hain.

Rate it:
Views: 1750
02 Sep, 2022
Related Tags on Faiz Ahmed Faiz Poetry
Load More Tags
More Faiz Ahmed Faiz Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets