Chaman Mein Subh Ye Kehti Thi Ho Kar Chashm-E-Tar Shabnam
bahar-e-bagh go yuun hi rahi lekin kidhar shabnam
araq ki buund us ki zulf se rukhsar par tapki
taajjub ki hai jagah ye padi khurshid par shabnam
hamen to baagh tujh bin khana-e-matam nazar aaya
idhar gul phadte the jaib roti thi udhar shabnam
kare hai kuchh se kuchh tasir-e-sohbat saaf tabaon ki
hui atish se gul ki baithte rashk-e-sharar shabnam
bhala tuk subh hone do ise bhi dekh levenge
kisi ashiq ke rone se nahin rakhti khabar shabnam
nahin asbab kuchh lazim subuksaron ke uthne ko
gai ud dekhte apne baghair-az-bal-o-par shabnam
na paaya jo gaya is baagh se hargiz suragh us ka
na palti phir saba idhar na phir aai nazar shabnam
na samjha ‘dard’ ham ne bhed yaan ki shadi o gham ka
sahar khandan hai kyuun roti hai kis ko yaad kar shabnam